Friday, June 20, 2008

Na shikayat na gila kre.......

Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Jo mere liye hi saja kare…
Mujhi se baatein kya kare...
Kabhi roe voh be panaah…
Kabhi be tahaasha udaas ho…
Kabhi chupke chupke doobe kadam se…
Merey peechey aake hansa kare…
Meri qurbatein meri chahatein…
Kare koi yaad qadar qadar…
Main taveel safar mein hoon agar…
Meri vaapsi ki dua kare…
Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…

No comments: