Tuesday, March 25, 2008

Meri zindagi ke kitaab tu.

Meri Zindagi Ki Kitaab Tu
Mere Har Sawaal Ka Jawab Tu

Main Tujhay Perhon Ga Tamaam Umer
Meri Hayaat Ka Nisab Tu

Meri Her Sheh Per Haq Tera
Meray Liye Hai Nayaab Tu

Mera Pyaar Hai Sirf Tere Liye
Mujhay Paanay K Liye Betaab Tu

Meri Her Dua Tere Liye
Meri Ebadatoon Ka Sawaab Tu

Bakhsha hai tum ko husun meri nigah ne.....

Bakhsha He Tum Ko Husun Meri Nigaah Ne............

Hum Ley Kar aye Hain TUmhen Had- e Ghurur tak

Chalo Hum ne mana K............. Hame Ishq Hey Tumse

Ab Tum Hi Kaho K Is Sabab Maghrur Ho Tum

Tuesday, March 18, 2008

Gar hum kahain or wo muskura dain.

Gar hum kahain aur voo muskara dain
hum un kay leya zindagani luta dain

her aik morr per hum ghummo koo saza dain
chullo zindagii koo mohabat buna dain

agar khud koo bhollay too kuch bhee na bhoolay
kay chaht mian un kii khuda koo bhulaa dain

kabhii gumm kii andheee jinhian choo na pahay
vafaavhoon kay hum vhoo nassaymun bana dain

kayamaat kay dewanay kahtay hian hum say
chullo un kay chahray say perda hata dain

sazaa day silaa day bana day mitaa day
magar vhoo koi faislaa too suna day

Aay duur nagar k bunjaray q aaj safar ki tanhai hai.

Aay duur nagar k bunjaray kiyon aaj safar ki thani hai,
Yeh barish, keechar, sard hawa aur rah kathun anjani hai.

Aa mehfil chup chup baithee hai aa mehfil ka jee shaad karain,
Woh log k tairay aashiq hain, k roz say tujh ko yaad karain.

Woh thor thikanay dhoond chukay, woh manzil manzil chooh ayay,
Ubb aas lagayay baithay hain kub dustuk ho kub tu ayay.

Aay duur nagar k banjaaray gar chor k aisa jana tha,
kiyon chah ki rah dikhani thee, kiyon piyar ka haath barhana tha.

Hai dunya k hangamo main rangeenee bhi ranaaiee bhi,
Hur cheez yahan ki piyaree hai, mehroomi bhi, ruswaiee bhi.

Sub log yahan par qismat kay bai tor thapairay sehtay hain,
Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain.

Aur tu tau aik khilari tha, kiyon khail hee say mon morr liya,
Kiyon jaan ki baazi haar gia, kiyon umer ka rasta torr liya.

Go janay k mushtaq yahan hum jaisay laakh becharay hon,
Woh log hee rukhsat hotay hain jo log k sub ko piyaray hon

Tum khud socho

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?

Tum Khud Socho

Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?

Tum Khud Socho !

Kuch roz bht dil tarpe ga

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey
GaPani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Ye zindagi bari ajeeb hai

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay Inaam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si

Kbhe kabhi mere dil me kahayal ata hai

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
To sadab ho bhi sakti thi
Yeh ranjho gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki suahon main kho bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka,
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham, teri joostjoo bhi nahin
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suragh
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri
Inhi andheron main reh jaonga kabhi kho kar
Main janta hoo meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

Kal bhi mar jana hai aaj mar gaye to kya

kal bhi mar jana hai aaj mar gay to kia
kal bhi chorr jana hai aaj bichar gay to kia
Yeh maherbani na ker pehle ahsanoon ki tarhan
Dil kal bhi torr dena hai aaj torr do to kia
intizar kyun karoon teri bewafai ka
kal tum karo gay aaj main ker doon to kia
ab nehin aitbaar teri wafaoon ka
kal tum thay bewafa aaj main hoon to kia

Hum ne to mohabbat ki her rasm adda ki hai

Hum ne to mohabbat ki her rasm adda ki hai
Hum ne to bewafa say bhi wafa ki hai

YE SILLAY MILE HAI JO HMNE JAFA KI HAI

yeh sillay mile hain jo hum ne jafa ki hai

pai saza uss ki jo na hum ne khata ki hai

Tmhari aankhein kehti hain hisaar-e-zaat se niklo

Tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo
Tamanna meri bann jao shab-e-berbaad se niklo
Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do'purani yaad se niklo
Khayal-e-yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
Nahi koi mohabbat bhi,hijar rutt bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kiya kahiye, wehem ki ghat se niklo
Sukhan war hum se kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amawas raat se niklo
Nahi tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamare karb ki choro, tum is gardaab se niklo
Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho dermandgi kuch bhi
Zamana deikh thamm jaye kuch is andaaz se niklo

Meri tanhai ko ab eik mehmaan chahiye

Meri tanhai ko ab eik mehmaan chaahiye
mujhko saaya nahin eik insaan chaahiye

baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
koi kam-sukhan koi bey-zubaan chhaahiye

andhere hein zindagi mein door talak
bahotmujhko ujaalon ka kaarwaan chaahiye

mujhko na raas aayega tera zareen qafas
hum parindon ko khulaa aasmaan chaahiye

Main chhot ker bhi soey naishman nahe gya

Main choot ker bhi soey nishmen nahi gya,
kitna maza hai qafs k azab mei,

her ak apni bari yahan pori ker chala,
kuch din uljh k hussn -o-jahan k sarab mei,

wada kiya tha muj se mille gey kabhi kabhi,
aye tu wo zaroor mager sirf khawb mei,

is bot k dekhne ko namaze hovi kaza,
mommin khuda ko bhool gey aztarab mei,

ik ajnabi se app mile muskra k hey,
ik aur raqeeb berh gya mere hasaab mei,

is be-wafa ne muj ko kiya qatel aur kaha
kuch tu kami hovi mohubbet k bab mei,

ATIF main janta hon abadet ka tari raz,
ik kashmakash chiri hai gunah o sawab mei...

Kaisay wo laut aaye k fursat usay nahe

Kaisay Wo Lout Aaye K Fursat usay Nahin
Dunia Samjh Rahi hay Mohabbat Usay Nahin

Lagta Hay Aa Chuki Hay Kami Uski Chaah Main
Kaafi Dino Say Mujhsay Shikayat Usay nahin

Dil Ki Zameen uski Banjar Hay Isi Leay
Jazbon Ki Barishon Ki aadat Jo Usay Nahin

har Cheez Ikhtiyaar Main Rakhta Hay Wo Magar
Dil Say Rihaai Panay Pay Qudrat Usay Nahin

Kbhe uaay bi mere yaad satai ho gi.

Kabhi ussey bi meri yaad stati ho gi
Apni ankhon main merey khuaab sajati ho gi

Wo jo her waqt khiyaalon main bassi rehti hai
Kabhi to meri bi sochon main kho jaati ho gi

Wo jiski raah main palkein bichi rehti hain
Kabhi mujhey bi apney pass bulati ho gi

Labon per rehti hai wo her pal hansi bann ker
Tasawar se merey , wo bi muskuraati ho gi

Wo jo shaamil hai merey geet merey naghmon main
Kabhi tanhai main mujh ko gun gunaati ho gi

Jis ke liey mera dil beqaraar rahta hai
Merey liey apna chain bi guanti ho gi

Jiss se izhaar e wafa her pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bi karna chahti ho gi

Jiske liey meri her raat hai karwat karwat
Kabhi to ussey bi neend na aati ho gi

Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bi deey jalati ho gi

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai ussey bi yunhi rullati ho gi

Abhi to ishq main aesa bhi haal hona hai

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay"

yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Tu ne hi kaha na k me kashti pe bojh hn?

tu ne hi kaha tha na k mein kashti pe boojh hon?

ab yun ankh na dhanp mujhe doobta bhi dekh...

Toufan kr raha tha mere azm ka tawaf.........

Toufan ker raha tha mere azm ka tawaf.........,

dunya samajh rahi thi k kashti bhanwar me hai....

Main is sey barh k zibhat ke kya misaal dn

Main is sey barh k zibht ki kya misaal doun

Woh mujh sey lipat ker roya kissi aur k liye......

Fakeeh shehar ne tohmat lagai saghir par

Fak’eeh Sheher nay TOHMAT lagai SAGHIR par

Yeh Shakhs DARD ki DOLAT ko AAMM karta hay…!!!

Bandagi maine chor de fadi

Bandagi MAINE chhor di FADI

Kya karain jab log hi Khuda ho jayen...

Phaialay gi tere hath ki khushboo bhi is kay sath

Phailay gi tere Hath ki KHUSHBOO bhi is kay sath

Pagal HAVA kay dosh par Likha na kar MUJHAY….

Bana kr gariboo ka hum bhes fadi

Bana kar gariboo ka hum bhes FADI

Tamasha-e-ahel-e-karam dekhte hain....

Utha k phool ki pati nazakat say masal dali

Utha k phool ki patti nazakat say masal dali

Ishary say kaha hum dil ka aisa haal karty hyn....

Choom leti hai kbhi lab to kbhi aariz-e-naz

Choom leti hai kabhi LAB to kabhi AARIZ-E-NAAZ

Tumne ZULFON ko bahot SAR pe chadha rakha hai......

Monday, March 17, 2008

Itane gaye guzre ham bhi nahe

Itane gaye guzary ham bhi nahi
Humse pehly apko jane de
Janse bhi Ziada smbhalege apko

Ek arzu hai apse
Muskurana mat bhuliyega
Sayad uske bina jina sake ham

Ankhon me jo khawab hain.....

ankhon me jo khwaab hein unko batein kerne do
honton se wo lafz kaho jo kajel kehta he
mousam jo sandeysa laya usko perrh to lo
sun to lo wo raaz jo pyaasa saahil kehta he


aati jaati lehron se kia pooch rahi he reyt
badel ki dehleez pe tarey kiun-ker beythe hein
jherno ne us geet ka mukhrra kese yaad kiya
jis k her ik bol me hum tum batein kerte hein


raah-guzer ka, mousam ka, na baarish ka mohtaaj
wo derya, jo her ik dil k ander behta he
khaa jata he her ik sho'la waqt ka aatish-daan
bas ik naqsh MUHABBET he jo baaqi rehta he


aankhon me jo khwaab hein unko batein kerne do
honton se wo lafz kaho jo kajel kehta he

Kitabon mein mere fasanay dhondatay hain...

Kitaabo mein merey fasaane dhoondte hain,
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain
Jab woh they....!! talaash-e-zindagi bhi thi,
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!
Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!
Musaafir be-khabar hain teri aankhon se,
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain
Tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale,
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!
Unki aankhon ko yun dekho na "SANAM",
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..

Kbhe kbhe mere dil me khayal ata hai.

Kabhi kabhi mery dil main khiyal ata hai
Kay jaisy tujh ko banaya gaya hai mery liy
Tu ab say pahly sitaron main bus rahi thin kahin
Tujhy zameen pay bulaya gaya hai mery liy
Kabhi kabhi mery dil main khiyal ata hai
Kay yeh baddan yeh nighain meri amanat hain
yeh gesion ki ghunni chaoun hai meri khatir
Yeh hont or yeh banhain meri amanat hain
Kabhi kabhi mery dil main khiyal ata hai
Kay jaisy bajti hain shahnayan si rahon main
Suhaag raat hai ghunghat utha raha hoon main
Simt rahi ahi tu sharma kay apni banhon main
Kabhi kabhi mery dil main khiyal ata hai
Kay jaisy tu mujhy chahy gi umer bhur yun hi
Uthy gi meri taraf piyar ki nazar yun hi
Main janta hoon kay tu ghair hai magar yun hi
Kabhi kabhi mery dil main khiyal ata hai ....

Hamara kya hai....

Hamara kya hai key ham to chiraagh-e-shab ki tarah
Agar jaley bhi tu bas itani raushani hogi
Key jaisey tund andheroon ki raah mein jugnuu
Zara si deir ko chamakey chamak ke kho jaey
Phir is ke baad kisi ko na kuchh sujhaee dey
Na shab katey na suraagh-e-sehar dikhaee dey
Hamara kya hai ke ham tu pas-e-ghubar-e-safar
Age chaley bhi tu bas itni raah tay hogi
K teiz havaoon ki zard mayal naqhs-e-qadam
Zara si deir ko ubhrein ubher kay mit jaey
Phir us key baad na rasta na rah guzar miley
Hadd-e-nigah talak dasht-e-bekanaar miley
Hamari simt na dekho ke koi deir main ham
Qabeela-e-dil-o-jaan judaa honey waley hain
basey basaey howey sheher apni aankhoon key
Misal-e-khana-e-veeran ujernay waaley hian
Hawa ka shor yehi hai to dekhtey rehna
Hamari umar ke Kheaimay ukhernay walay hain

Nakam hasraton kay siwa........

Nakaam hasratoo'n kay siwa kuch nahi raha
Dunya main ab dukhoon kay siwa kuch nahi raha
Ik umer ho gai hai kay dil ki kitaab main....
Kuch khushk patiyoon kay siwa kuch nahi raha
Yaadein smaaa'at pey kuch istarha say chaa gaein
Pichli rafaqatoo'n kay siwa kuch nahi raha.....
Lab si liye tu apnay hi kamray main yu'n laga
Khamosh aaenoo'n kay siwa kuch nahi raha....
Jazbay tamam kho gaye lamhoon ki dhool main
Ab dil main dharkanoo'n kay siwa kuch nahi raha

Muhabbat zat hote hai.....

Muhabbat zat hoti hai
Muhabbat zat ki takmil hoti hai
Koi jungle me ja thehre,
Kisi basti me bas jaye
Muhabbat sath hoti hai
Muhabbat khushbooaon ki lay
Muhabbat mausamon ki dhun
Muhabbat aabsharon k nikharte paniyon ka man
Muhabbat jangalon me raqs karti morni ka tan
Muhabbat barf parti sardiyon me dhoop banti hai
Muhabbat chilchilatey garm sehraon mein thandhi chaon ki manind
Muhabbat ajnabi dunya me apne gaaon ki manind
Muhabbat dil
Muhabbat Jaa'n
Muhabbat rooh ka darma'n
Muhabbat Moorti hai
Kabhi jo dil k mandir mein kahin per toot jaye to
Muhabbat Kanch ki guriya
Fizaon mein kisi k hath se garay ya chhoot jaye to
Muhabbat aabla hai karb ka
Gar phoot jaye to
Muhabbat rog hoti hai
Muhabbat sog hoti hai
Muhabbat sham hoti hai
Muhabbat raat hoti hai
Muhabbat jhilmilati aankh me barsat hoti hai
Muhabbat neend ki rut me haseen khuwabon k raste per
Sulagte, Jaan ko aatey ratjagon ki ghaat hoti hai
Muhabbat jeet hoti hai
Muhabbat maat hoti hai
Muhabbat zaat hoti hai...!

Sunday, March 16, 2008

Raat bhar mujh ko .......

Raat bhar mujh ko jalati hai mohabbat us ki
Shidat-e-gham se rulati hai mohabbat us ki
Teshnagi khatam huway aik zamana guzra
Ab meri pyas bujhati hai mohabbat us ki
Ab maray dil ko khizaoon ka koi khauf nahi
Har taraf phool khilati hai mohabbat us ki
Jab kabhi toot k roota hoon shub-e-hijraan main
Meri annkhoon ko sajati hai mohabbat us ki
Wo kisi toor bhi hota nahin sochon se juda
Us ko bhooloon tu bulati hai mohabbat us ki
Besabab naaz nahin apne muqadar pe mujhe
Nit naye zakhm lagati hai mohabbat us ki
Warna har sakhs maray haal se waqif hota
Mera har bhaid chupati hai mohabbat us ki
Paon tikte hi nahin maray zameen par wasiq
Ab fizaoon main urati hai mohabbat us ki

Na siyo hont.............

NA SEYO HONT NA KHUABOON MAIN SADA DO HAM KO
MASLEHAT KA YEH TAQAZA HAI BHULAA DO HAM KO
JURMEY SUQRAAT SAY HAT KAR NA SADZA DO HAM KO
ZEHER RAKHA HAI TU YEH AABEY BAQA DO HAM KO
HAM HAQEEQAT HAIN TU TASLEEM NA KARNAY KA SABAB?
HAAN AGER HAFREY GHALAT HAI TU MITA DO HAM KO
KHIZR MASHHOOR HO, ILYAAS BANAY PHIRTAY HO
KAB SAY HAM GUM HAIN HAMARA TU PATA DO HAM KO
SHORASHEY ISHQ MAIN HAI HUSN BRABER KA SHAREEK
SOCH KAR JURMEY TAMANNA KI SAZA DO HAM KO
MAQSADEY ZEEST GHAMEY ISHQ HAI SEHRA HO KAY SHEHER
SHOUQ SAY SHEHER PANAHOON MAIN LAGA DO HAM KO
KON DEITA HAI MUHABBAT KO PARASTISH KA MAQAAM
TUM YEH INSAAF SAY SOCHO TU DUA DO HAM KO
AAJ MAHOL KO AARAIESHEY JAAN SAY HAI GURAIZ
KOI FAHAD KI GHAZAL LA KEH SUNA DO HAM KO

Main nay aaghaz se anjam-e-safar ko jana hai........

Main nay aaghaaz se anjaam-e-saffar jaana hia
Sab ko do chaar qadam chal kay thehar jaana hai
Gham wo sehra-e-tamana keh bagolay ki tarhaan
Jis ko manzil na mili, us ko bikhar jaana hai
Ab kay bichray to na pehchaan sakain gey umar bhar
Meri chahat, teray pindaar ko marr jaana hai
Jaanay walay ko na roko keh bharam reh jaa-ey
Tum roko bhi to kab us ko thehar jaana hai
Taiz dhoop mea chalay aatay hain meri jaanib
Doston nay mujhay sehra ka shajar jaana hai
Zindagi ko bhi teray darr se bhikaari ki tarhaan
Ik pall kay liye rukna hia, guzar jaana hai
Apni afsurda mizaagi ka bura na keh "Fahad"
Wake-ah koi bhi ho, aankh ko bhar jaana hai..!!

Bara ajeeb muhabbat ka ye fasana hai.....

Barra ajeeb muhabbet ka ye fasaana he
dil he teyra, tu kisi aur ka diwana he
jo jis ko chahta he wo usey nahi milta
keysa dastoor he duniya ka, kia zamana he
tu kis terha se bachey ga nazer k teeron se
her aik simt se teyra hi dil nishana he
panaah le ga is chamen mein kis shajer pe tu
her aik shaakh pe meyra hi aashiyana he

Me yonhi guzarr deta..................

Me yoonhi guzaar deyta shab-e-ghum sambhal sambhal k
tumhey kia mila bata do meri zindagi badall k !!!!!!
barrey bewafa hein aansoo ser-e-bazm aaj chhalkey
meri aarzoo ko loota meri chashm-e-namm ne pall k
kisi be-sahaara dil ko na satao is terha se
kaheen aahh ker na beytthey koyee badnaseeb jall k
me isi liye khicha hoon k unhey bhi aaye ghussa
wo ulett dein kaash perda meri be-rukhi pe jall k

Tnhai the mere dil me.............

Thaanii thii dil men ab na milenge kisii se ham
par kyaa kare ke ho gaye naachaar jii se ham
ham se na bolo tum ise kyaa kahate hai.n bhalaa
insaaf kiije puuchhate hain aap hii se ham
kyaa gul khilegaa dekhiye hai fasl-e-gul to duur
aur suu-e-dasht bhaagate hain kuchh abhii se ham
kyaa dil ko le gayaa ko_ii begaanaa aashnaa
kyuun apane jii ko lagate hain kuchh ajanabii se ham

Samandar mein utarta hn.

samander main uterta hon tu ankhain bheeg jati hain
teri ankhon ko perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaii jab se
koii bhi lafz likhta hon tu ankhain bheeg jati hain
teri yadon ki khushbo khirkiyon main raks kerti hai
tere gham main sulagta hon tu ankhain bheeg jati hain
main hans k jheel leta hon judaii ki sabhi rasmain
galay jab us k lagta hon tu ankhain bheeg jati hain
woh sab guzray howay lamhat mujh ko yad atay hain
tumharay khat jo perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
main sara din bohat masroof rehta hon mager jonhi
qadam chokhat pe rakhta hon tu ankhain bheeg jati hain
har ik muflis k mathay per alam ki dastanain hain
koii chehra bhi perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
baray logon k onchay badnuma or sard mehlon ko
ghareeb ankhon se takta hon tu ankhain bheeg jati hain
hazaron mosmon ki hukmarani hai mere dil per
wasi main jab bhi hansta hon tu ankhain bheeg jati hain

Main aiyna hn.........

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti HaiZaheen Hai,
Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,
Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,
Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,
Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,
Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,
Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,
Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,
Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!!

Aaj k daur main.........

Aaj k daur mein ae dost yeh manzar kyun hai
zakhm har sar pe har ik haath mein patthar kyun hai
jab haqeeqat hai k har zarrey mein tu rehta hai
phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai
apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai
zindagi jeeney k qaabil hi nahin abb "Zakhmi"
werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai

Aag ho to jalane me...........

Aag ho to jalane me.n der kitanii lagatii
hai barf ke pighalane me.n der kitanii lagatii hai
chaahe ko_ii ruk jaaye chaahe ko_ii rah jaaye
qaafilo.n ko chalane me.n der kitanii lagatii hai
chaahe ko_ii jaisaa bhii ham_safar ho sadiyo.n se
raastaa badalane me.n der kitanii lagatii hai
ye to vaqt ke bas me.n hai ke kitanii mohalat de
varnaa baKht Dhakane me.n der kitanii lagatii hai
mom kaa badan lekar dhuup me.n nikal aanaa
aur phir pighalane me.n der kitanii lagatii hai
soch kii zamiino.n me.n raaste judaa ho.n to
duur jaa nikalane me.n der kitanii lagatii hai..!!??!!

Zindagi hai chote........

zindagi hai choti, har pal mein khush raho…
Office me khush raho, ghar mein khush raho…
Aaj paneer nahi hai, daal mein hi khush raho…
Aaj walking jane ka samay nahi, do kadam chal ke hi khush raho…
Aaj Dosto ka sath nahi, TV dekh ke hi khush raho…
Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho…
Aaj koi naraaz hai, uske ish andaz mein bhi khush raho…
Jisse dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush raho…
Jisse paa nahi sakte uske yaado mein hi khush raho....
MBA karne ka socha tha, apne job mein he khush raho…
Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush raho…
bita hua kal jaa chuka hai, ushme meethi yaadein hai, unme hi khush raho…
aane wale pal ka pata nahi… sapno mein he khush raho…
Haste haste ye pal beet jaaenge, aaj mein hi khush raho......
Zindagi hai choti, har pal main khush raho......

Muhabbat say,inayat se......

Mohabbat say, Inayat say, wafa say chot lagti hai
Bikherta hua phool houn ,mujh ko hawa say chot lagti hai

Meri aankhon main aansoo ki tarha ek baar aa jao
Takaluf say, Banawat say, aada say chot lagti hai

Main shabnum ki zuban say, phool ki aawaz sunta houn
Ajab ahsaas hai apni sada say chot lagti hai

Tujhe khud apni majburi ka andaza naheen shayad
Na ker ahed-e-wafa,..... ahed-e-wafa say chot lagti hai

Aadadmi aadami ko kya dega......

aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vahii Khudaa degaa

meraa qaatil hii meraa mu.nsib hai kyaa
mere haq me.n faisalaa degaa

zindagii ko kariib se dekho isakaa cheharaa
tumhe.n rulaa degaa

hamse puchho dostii kaa silaa
dushmano.n kaa bhii dil hilaa degaa

ishq kaa zahar pii liyaa 'Faakir' ab
masiihaa bhii kyaa davaa degaa

Kartay hain muhabbat sub hee magar.....

Kartey hain muhabbat sub hee magar
har dil koo silaaa kab milta hai

Aaati hain baharain gulshan main
har phool magar kab khiltaa hai

Aaj tu besabab.......

Aaj tou bay sabab udas hai jee
Ishq hota tou koi bat bhi thee

Tanhai bhari zindagi ka safar mila.......

Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
na saathi,na humsafar mila.

Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
jab vapis lote to jalta hua ghar mila.

Ye or baat hai....

Ye aur bat keh sabit qaadaam raha warna
bahoot faraib diye chand qurbatoon ney mughe

Koi dost hai na raqeeb hai.........

KOI DOST HAI NA RAQEEB HAI
TERA SHEHAR KITNA AJEEB HAI

WO JO ISHQ THA WO JUNOON THA
YE JO HIJER HAI YE NASEEB HAI