Friday, June 20, 2008

Khud apnay liye.............

Khud Apne Liye Beth Ke Sochengey Kisi Din
Yun Hai Ke Tujhe Bhool Ke Dekhengey Kisi Din...

Bhatkey Hoey Phirtey Hain Kayi Lafz Jo Dil Mein
Dunya Ne Diya Waqt To Likhengey Kisi Din...

Hil Jayengey Ikk Baar Tau Arshon Ke Dar-O-Baam
Yeh Khaak Nasheen Log Jo Bolengey Kisi Din...

Apas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahin Waqt
Har Baar Yeh Kehtey Hain Ke Bethengey Kisi Din...

Ae Jaan Teri Yaad Ke Benaam Parinday
Shakhon Pe Mere Dard Ki Utrengey Kisi Din...

Jaati Hia Kisi Jheel Ki Gehrayi Kahan Tak
Ankhon Mein Teri Doob Ke Dekhengey Kis Din...

Khush Boo Se Bhari Shaam Mein Jugnoo Ke Qalam Se
Ik Nazam Tere Wastey Likhengey Kisi Din...

Soyengey Teri Aankh Ki Khuluwat Mein Kisi Raat
saaye mein terii zulf ke jaagenge kisii din.....

Sehraye Kharabi Ki Isi Gard-E-Safar Se
Pholon Se Bhare Rastey Niklengey Kisi Din...

Khushbu Ki Tarah,Misal-E-Saba,Khwaab Numa Se
Galiyon Se Tere Shehar Ki Guzrengey Kisi Din...

FAHAD Hai Yehi Ab Ke Kafan Bandh Ker Sir Per
Uss Shehar-e-Sitamgar Mein Jayengey Kisi Din...............

Vo baat baat me.............

Vo baat baat men itna badalta jaata hai.....................
ki jis tarah koii vada badalata jaata hai.

yeh aarzoo thi ki ham us ke sath saath chale,
magar vo shaks to rasta badalta jaata hai.

jo tez dhoop men sar par raha vahii aanchal,
hawaa chali hai to kitna badalta jaata hai.

root-e-vishaal ki ab khwaab honewaali hai,
ki us ki baat ka lehja badalta jata hai.

vo baat kar jise duniya bhi mautbar samajhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai.............

Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de........

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey,
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey.

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey,
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey.

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan,
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey.

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon,
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey.

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se,
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey................

Ek ghulab tha.............

Ek gulab tha,
Bara udaas tha.
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa,
Shabnam k ansoo rawaan the us k,
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa,
Bahar ka tha mausam phir bhi na khila tha,
Dali se tha who apni kuch jhuka jhuka sa,
Main ne jo dekha usee,
Pass ja k pocha us se,
Kyon hai udaas tu?
Kyon kerta hai dil barbad tu?
Kis ko kerta hai yaad tu?
Yeh sun ker who rone laga,
Shabnam k ansoo se moon dhone laga,
Or rotay rotay bas yeh kehne laga,
Mera yaar mujh ko chor geya hai,
Mera pyar mujh se moun moor geya hai,
Ab main kis k liye khil jaoon,
Ab main kis k liye khushboo mahkaoon,
Mujhe kon apne dil se lagae ga,
Mujh ko kon apni sansoon me basae ga,
Mera chaman ujar geya hai,
Mera yar mujh se bichar geya hai,
Bas ab to her lamha us ki yaad hai,
Bas beqarari hai, tarap hai faryaad hai,
Mujh ko koi mere yaar se mila dai,
Mujh ko koi mera pyar lotaa de,
Woh aye ga tu khil jaoon ga main,
Apni zindagi se mil jaoon ga main..............................

Samundar me utarta hn to..........

Samundar mein Uterta hoon to aankhaain beegh jati hain
Teri ankhoon ko perhta hoon to ankhain beegh jati hain

Tumhara naam likhne ki ijazat chin gayee jab se
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain beegh jati hain

Teri yaadoo ki khushboo khirkiyoon mein raqs kerti hai
Tere gam mein sulaghta hoon to aankhain beegh jati hain

Main hans ke jhail laita hoon judyee ki sabi rasmain
Galay jab us ke lagta hoon to ankhain beegh jati hain

Na janay ho gaya hoon is qadr hasaas kab se
Kisi se baat kerta hoon to ankhain beegh jati hain

Woh sab guzre huay lamhaat mujh ko yaad ate hain
Tumhare hat jo perhta hoon to ankhain beegh jati hain

Main sara din bohat masroof rehta hoon magr yunhi
Qadam chokhat pe rakhta hoon to ankhain beegh jati hain

Tere kooche say ab mera ta'aluk wajbi sa hai
Magr jab bhi guzrta hoon to ankhain beegh jati hain

Hazaaro mosmoo ki khukmaraani hai mere dil pe
"Fadi" main jab bhi hansta hoon to ankhain beegh jati hain....

Apnay hathon ke lakeron me basa le mujhko..........

Apney Hathon Ki Lakeeron Main Basa Ley Mujh Ko,
Main Hoon Tera Naseeb Apna Bana Ley Mujh Ko.

Mujh Sey Tu Poochney Aya Hey Wafa Key Maini,
Yeh Teri Saada Dili Maar Na Daaley Mujh Ko.

Main Sumandar Bhi Hoon, Moti Bhi, Ghota Zan Bhi,
Koi Bhi Naam Mera Ley Key Bula Ley Mujh Ko.

Tu Ney Dekha Nahi Aainey Sey Agey Kuch Bhi,
Khuda Parasti Main Kahin Tu Na Ganwa Ley Mujh Ko.

Kal Ki Baat Or Hey Main Ab Sa Ruhoon Ya Na Ruhoon,
Jitna Jee Chahey Tera Aaj Sata Ley Mujh Ko Khud Ko.

Main Bant Na Daloon Kahin Daman Daman,
Ker Diya Tu Ney Agar Merey Hawaley Mujh Ko.

Main Jo Kanta Hoon To Chal Mujh Sey Bacha Ker Daman,
Main Hoon Agar Phool To Joorey Main Saja Ley Mujh Ko.

Main Khuley Der Key Kisi Gher Ka Hoon Saman Pyarey,
Tu Dabey Paoon Kabhi Aa Ker Chura Ley Mujh Ko.

Tark-E-Ulfat Ki Qasam Bhi Koi Hoti Hey Qasam,
Tu Kabhi Yaad To Ker Bhoolney Waley Mujh Ko.

Baadah Phir Baadah Hey Main Zeher Bhi Pee Jaon Qateel,
Shart Yeh Hey Koi Banhon Main Sanmbhaley Mujh Ko....................

Aaap mile to zindagi.............

Aap Mile to Zindagi ko jaise Sahara Mil Gaya,
Bhatakte Kadmo ko Manzil ka jaise Ishara Mil Gaya,

Dubne hi waale the Jab Hum Ranj-o-Gham ke Samandar mein,
“Aalam” ki Dubti Kashti ko jaise Kinara Mil Gaya.

Raas ayege mujhko bhi.........

Raas Aayegi mujhko bhi,DiN_Raat khushi ke,
baaNdhi thi Bethe_Bethe,Ek Aas usi ki.

jab_jab bhi lab pe dekhiye,tha NaaM usi ka,
har lamha Duao me thi,ek AAs usi ki.

ALLAH khali haath Na duNiya se jauNgi,
bikhri SoNi ki ziNdagi,hai AAs usi ki...........

Ye hakikat bhi..........

ye hakikat bhi,khayal bhi,ittefaq bhi hai.
Na zamaNe me kahi,NA ye Kisi Akhbar me hai.

kisi ki saadgi,baaNi me,kisi k Afkar me hai,
wo salabat_wa_shafakkat,FaHaD ke kirdar me hai.

mera khilna,wo mehekNa,Wafa ke khilte wo kaNwal.
Hasrat_E_HASSAS_wo_MEHEL bhi,mere sarkar me hai.

mili khushiya,Hue hum Ek,hua Ek Saal pura.
sath ke Ehsaas ki khabar,mere is Ashaar me hai.

Meri khushiya,meri chahat,apke izhaar me hai,
Rukhsati zamaNe se meray FaHaD,apke iNkaar me hai.

palke jo meri Aram ka,AAJ Naam Nahi leti,
wo pyar,wo wafao ka ajar,fAhAd Ke saath me hai.

har janam me Ek ho,hum ye dekhe kiye hai khuwab,
wo INAYAT,wo ZIYARAT,FaDiii ke taabirat me hai.........

Unki yaadon mein.........

UNKI YAADON MAIN KABHI HUM SO BHI NA SAKE,
UNKE KHAYALON MEIN KABHI KHO BHI NA SAKE.

JAB JUDAI KA WAQT AAYA TO KISMAT DEKHO,
HUM AANKHON SE RO BHI NA SAKE ...................