Monday, June 2, 2008

Kb kaun kisi ka hota hai.......

Kab kaun kisi ka hota hai,
Sub jhootey rishtey naate hain...

Sub dil rakhney ki batein hain,
Sub asal roop chhupate hain...

Ikhlaq se khali log yahan,
Lafzon ke teer chalate hain...

Ik baar nigahon mein aakar,
Phir saari umar rulate hain...

Who jis NE diye hain ashk humein,
AB us ko bhool hi jaate hain..............

No comments: