Tuesday, April 29, 2008

Aaj newspaper me parha ki......

Aaj newspaper me parha ki
doston ko sms krne se dil ke bemari ho sakte hai,


To aaj se BAND..!!!!



Kya Sms...?




Nahe re...............!





..................NEWSPAPER.............

Jiski stupid se baatain lgte hon nice.........

Jiski stupid se baatain lgte hon NICE,

Sacha lagta ho jis ka har JHOOT,

Jiske sath larte hue bhi ajae SMILE,

Usay kehte hain FRNDSHIP WITH STYLE....

Saturday, April 26, 2008

Jb koi khayal dil me ata hai..........

Jab koi khayal dil me ata hai,
dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai,

koi sab kuch keh kar pyar ko jtata hai,
to koi kuch na keh kar pyar ko nibhata hai.

Ye hickiyan kyu mujhe ane lage hai......

Ye hichkiya kyu mujhe ane lagi hai..
fizao se bhi siskiya ane lagi hai..

Ye sochkar dil hai bahut khush..
ki yaad meri bhi kisi ko ane lagi hai

Kbhe num na ho jaye......

Kabhi num na ho jaye ye masoom nigahein,
Meri Aarzu hai tu sada muskuraye,

Gum ke saye rahe hum tak hi,
Tere aashiyane mein hamesha bharein hi aaye.

Mohabbat me maine.......

Mohabbat mein maine kya kuch nahi luta diya,

Unko pasand thi roshni Aur hamne khud ko jala diya.

Friday, April 25, 2008

Ajj dil pe dastak..........

aaj dil pe dastak, koe de raha hai
dard jo pahle se hai,usko hawa de raha hai

mangti hu jab bhi khusi rab se
kyo har bar muje aur dard de raha hai

Wo sare khat jala do.....

Woh sarey khat jala do
Woh sari baaten bhula doo
Woh andekhey anjane sapney
Dil key kisi koney mein chupa do

Jis ney hamein mayus kiya
Woh sari umeidein mita doo
Raat abhi buhat baqi hai
Raat ke andhere ko mita doo

Koi rota hoga ab bhi tanha
Usey ja key yeh baat bhi batla doo
Socha tha tumhein kabhi apna bananey kaa
Woh sarey sapney ko ab duwaaan dooo

Aaj raat buhat zoron ki barsaat hai
Aankhon key rastey Aansooon ko baha doo
Saat dekhey the jo sapney sab chur huye
Tum kabhi yaad naa Aao mujhey bas itni si dua doo

Pal bhar mein..........

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe “Manzil“ “Dushwar“ ho aur “Duur“ bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain

yun to “Raat“ ka alam Haseen hota hai, madhosh bhi
magar“chand“ dekhoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain

Agar kbhe tm janna chaho to.....

Ager kabhi tum jaanna chaho!
ke tum mere liye kiya ho tu sun lo....

meri her saans mein tum ho
meri her dhadkan mein tum ho
meri har aahat mein tum ho
meri her chahat mein tum ho
mere her lafz mein tum ho

her naam tumhara naam hai
her baat tumhari baat hai
her lafz jo mere lab per hai
woh tumhara kaha huwa hai

her lamehin mere zahen mein tum ho
her khawab mein tum ho
her nazar mein tum ho
her lamhein mere khayyalon mein tum ho

her yaad tumhari yaad hai
her chehre mein tumhara chehra hai
her sitare mein lagta hai
tumhara kangan chamak raha hai
her khushboo tumhare
badan ki khushboo lagti hai
chand mein tumhara chehra dikhta hai
meri her aadat tumhari aadat hai
mera yeh jivan tumhare naam hai
meri zindagi tumhare naam hai
meri zindagi tum se hai

meri pehli aur aakhri mohabbat tum ho!
ab samjhy k nahiiiii bolo ............ .?

Ab aansuyon ko aankhon mein sajana hoga.....

Ab aansuyon ko aankhon mein sajaana hoga
Chiraag bhuj gaye. . . khud ko jalaana hoga

Na samjhna ke tumse bichhar ke khush hain
Hamein logon ki khaatir muskuraana hoga

Phir pairon mein mehndi laga ke baithe honge
Hum jaan-te hain unkaa kya bahana hoga.

Phir shaam dhal gayi ..aap aaye na aaj bhi
Dil ko aaj phir umeedon se behlaana hoga

Vaada-khilaafi kar ke muskuraate ho aap
Dekhna aik din sanam aapko pachtaana hoga.

Lahoo se apne kafan pe tera naam likh jaaunga
Thaam haath mein kaleeza tumko aana hoga

Abhi se na kijiye takaaze masroofiyat ke aap
Abhi utth-ni hai arthi kaandha to lagaana hoga

Muddaton kiya hai tera intezaar aey dost..!
Umar kat chuki. . .ab ham ko jaana hoga

Maine b kisi se pyar kiya tha.....

Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain
agar har baato par uski naam lete hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike door jane ke baad unki yaad satati hain
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tah..

khud mein khud baatein karnahar pyar
isi gaane par sirf hum donoka nazar aana
agar ise pyar kehte hain toh haan
Maine bhi kissi se pyar kiya tah.........

Dil me tere chahat kr armann rakhte hai.......

Dil Me Teri Chahat Ke Armaan Rakhte Hain,
Jo Khuda Ko Pasand-Wo Imaan Rakhte Hain,

Bahut Gehra Hai Dariya Mere Sabr Ka ‘Tarun’,
Zakhm Kha Ke Bhi Chehre pe Muskan Rakhte Hain,

Humne Hoton Ki Larzish Bhi Qaabu Kar Li,
Mehfil-eDushman Bhi Qaabu-e-Zuban Rakhte Hain,

Meri Kahani Me Koi Naya Qirdar Na Aaya Par,
Harf Dar Harf Ek Naya Anzaam Rakhte Hain,

Na Doston Se Bani Na Dushmano Se Thani,
Hum Ji Kar Bhi Maut As Itmenaan Rakhte Hain…

Kuch ishq thaa kuch majburii thii....

kuchh ishq thaa kuchh majabuurii thii so mai.n ne jiivan vaar diyaa
mai kaisaa zindaa aadamii thaa ik shakhs ne mujh ko maar diyaa

ye sajaa sajaayaa ghar saaqii merii zaat nahii,meraa haal nahiin
ai kaash kabhii tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diyaa

main Khulii huii ik sachaaii mujhe jaanane vaale jaanate hain
main ne kin logon se nafrat kii aur kin logon se pyaar kiyaa

vo ishq bahut mushkil thaa magar aasaan na thaa yuun jiinaa bhii
us ishq ne zindaa rahane kaa mujhe zarf diyaa pindaar diyaa

ik sabz shaaKh gulaab kii thaa ik duniyaa apane pyaar kii thaa
vo ek bahaar jo aaii nahii.n us ke liye sab kuchh haar diyaa

mai.n rotaa huun aur aasmaan se taare TuuTate dekhataa huun
un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diyaa

vo yaar ho.n yaa mahabuub mere yaa kabhii kabhii milane vaale
ik lazzat sab ke milane mein vo zaKhm diyaa yaa pyaar diyaa

Na raasta sujhaye deta hai.......

Na raasta sujhayi deta hai
Na manzil dikhayi deti hai
Na lafz zubaan per aate hain
Na dharkan sunayi deti hai

Ek ajeeb si kaifiyat ne
Aan ghera hai mujhe
Ke her surat main
Teri surat dikhayi deti hai

Yeh milna aur bicharr jaana
Kab apne bas ki baat hai
Kismat hi milati hai hum ko
Kismat hi juddai deti hai

Her baar yeh hi hota hai
Koi humain bataye to sahi
Jo tum se nahi keh paate hain
Dharkan se sunayi deta hai

Tum jaante ho kya tum se kahen
Bechain bohat Dil hota hai
Jab paas nahi hote ho
Door saari KHUDAYI hoti hai

Kisi roz.......

Dard kyaa hota hai bataon gi kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunaon gi kaisi roz

Thi unki yeh zid ke main jaun unko manaany
Mujhko yeh vehem tha voh bulayenge kisi roz

Allah qasam maine to socha bhi nahin tha
Voh "itnaa" mere dil ko dukhayenge kisi roz

Har roz aayine se yahi puchti hun main
Kya rukh pe tabbassum bhi sajayenge kisi roz..?

Udne do in parindon ko azaad fiza mein
Tumhaare honge agar laut hi ayenge kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum
Zakhm-e-jigar tamaam dikhayenge kisi roz.!!!

Socha na tha.....

Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha

Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge kabhi socha na tha

Zamane se tanha hi takrayen ge kabhi socha na tha

Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the

Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha

Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai

Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha

Pe hai sharab...........

Pe hai sharab har gali har mehkane se

Ek dosti se ho gai hai sharab k jam se

Guzre hain hum kuch aise makaam se

K nafrat c hogae hai mohabbat k naam se

Tuesday, April 22, 2008

Chalo khawab aankhon mein saja kar daikhte hain..

Chalo khawaab aankhon mian saja kar dekhtay hain
Chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hain,

Khoon k rishton se aetbaar to uth gya
Chalo benaam rishtay bana kar dekhtay hain,

Zindagi aasaan ho jaye shaayad hamaari
Chalo haath ki lakeerain mita kar dekhtay hain,

Andheri shabb to kisi surat kat'ti nahi
Chalo ghar apna hi jala kar dekhtay hain,

Hamain maaloom hai k tum ney hamara hona nahi
Chalo tum par ye zindagi luta kar dekhaty hain...!!!

Q nahe ata......

JO MOSAM BEET JATA HAI DOBARA Q NAHI ATA
KAHIN SE LOT KAR BACHPAN HUMARA Q NAHI ATA

YAHAN ANAY KO TO HAR DIN KISSI K SAATH ATA
HAI JESE IS DIL NE REH REH KAR PUKARA Q NAHI ATa

WO JIS KI LO MOHABBAT KI JABEEN KA ISTARA THI
TO PHIR RASTAY MAIN HuMARaY WO ROSHAN SITARA Q NAHIN ATA

BOHAT HERAT HAI AB BAAGON MAIN JAB KALIYAN CHATAKTIN HAIN
HAMARAY DEHAAN MAIN LEHJA TUMHARA Q NAHI ATA

KABHI PHELAY HUYE PAIRON SE JAB KIRNEN JHALAKTI HAIN
TASSAWUR MAIN UN ANKHON KA ISHARA Q NAHI ATA

BHATAKTA PHIR RAHA HOON DIN K IS WERAN JANGAL MAIN
MEHAKTI SHAM KA RANGEEN KINARA Q NAHI ATA

Meri dua hai.......

Meri dua hai to naik serat ho,



Tera dil teri tarha khobsurat ho,



Mill Jaye har cheez tujhe dua se pehle,



khud dua ko tere hathon ki zarorat ho.....

Zara mousam k udas lamho.....

zara mosum k udas lamho main hum roo parhy hasty hasty,

ya RAB ab tu koi taber baksh dy kk khak gayi ankhain khuwab banty banty...

koi mahrban ho aisa jo galay laga kr roy,

main usy rula kar roan,wo mujhe rula kar roy...

Aap ko dil se...........

aap ko dil se salaam kartey hein...

apna har lamha aap k naam kartey hein...

yeh aur baat hai k aap thora door aap se hum rehtey hein...

magar yaad to subha shaam kartey hein...

Na muskurane ko ji chahta hai.....

Na muskurane ko ji chahta hai,

Na aansu bahane ko ji chahta hai,

Tumhari yaad mein aur kya kahe,

Bas tumhare paas aane ko ji chahata hai...

Kaisay jiyan gay tm bin......

kaisay jiyan gay tum bin...

yeh kiyal tu kiya hota...

jo dard saha hum nay...

wo dard tum nay bhi kabhi saha hota...

bas chal diya daman chora kay...

begano ki tarah...

kam say kam has kay ik dafa alvida too kaha hota..

Kbhe jo khawab.........

Kabhi Jo Khuwab Banay Kajal, Phel Ankhon May Jaye To...

Usay Roya Nahi Kartay, Woh Khuwab Tora Nahi Kartay...

Koi Manzil Say Bhatak Jaye, Uskay Sath Chaltay Hain...

Usay Khonay Nahi Detay, Usay Tanha nahi Kartay...

Wo mera ho jo ..........

Woh mera ho jo nighaaon main hayya rakhta ho...

Umar bhar sath chalnay ka Azmay Wafa rakhta ho...

Naaz Uss kay na utthon To Shikayat na kary...

Woh Zakham kha ker bhi muskranay ki adda rakhta hooooo....

NAJANE KON....

na jane kon duaaoon main yaad rakhta hai..

main doobta hoon samandar uchal deta hai...

Meray drd ke kahanai.......

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,

Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,

Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,

Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,

Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho

Kbhe koshish nahi krte.........

Suno Qismat se larrne ki
Kabhi koshish nahi karte

Muqaddar jab mukhalif ho
DUA'AIN be-aser jayen
Sabhi manzar bikher jayen
To aise main baghawat ki
Kabhi koshish nahi karte

Kisi ke saath chalne ki
Kisi ke Dil main basne
kiKabhi khuwahish nahi karte

Kisi ek shakhs ki khatir
Sabhi se door ho jaana
Kahan ki yeh Mohabbat hai?
Mohabbat yeh nahi hoti
Mohabbat Dil main hoti hai

Mohabbat aks hai RAB ka
Kabhi yeh mar nahi sakti
Hamesha saath rehti hai
Hamesha saath chalti hai

Mile jo humsafar tum ko
Us hi ke saath chalna tum
Usse dharkan bana lena
Usey Dil main basa lena
Mager Qismat se larrne ki
Lakeron se ulajhne ki

Kabhi koshish nahi karte
Kabhi koshish nahi karte

Sunday, April 13, 2008

Hum to shayr na the kbhe....

Hum to SHAYAR na they kabhi.....
SHAYARI to unki YAADON ne sikha di hume !!

Hum to ASHIQ na they kabhi.....
ASHIQUI to unki BAATON ne sikha di hume !!

Hum to DEEWANE na they kabhi...
DEEWANGI to unke PYAR ne sikha di hume !!

Hum to ROTE na they kabhi....
RONA to unki TANHAIYO ne sikha diya hume !!

SHABDO KO PYAR BHARE ALFAZO mein bolne wale to hum na they....
IS TARAH bolna unki MOHABBAT ne sikha diya hume !!

APNE PYAR KA ISHAAR karne wale to hum na they....
lekin unke IKRAAR ne ISHAAR karna bhi sikha diya hume......;->

Kash khushion ke..........

kashhhh khushion ki koi dukan hoti ..

humain bhi us ki pachan hoti...

bhar dete aap ka daman khushion se

keemat chaye us ki hamari jaan hoti....;->

Kaash.....

Kaash wado ka matlab woh samajte,

kaash khamoshi ka matlab woh samjhte,

nazar milti hai nazar se,

kaaaash meri nazron ka matlab woh samajte.....;->

Baton baton me..........

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Di hm ny.....

derguzer us ki her jufa ker di hum ny
uss k hak me aj phir dua ker di hum ny

aik limhy me us ny kho dia hum ko
jis ko pany me intha ker di hum ny

Bicharne walay log...............

bicharnay walay log

jo khayal thay na qayas thay wohi log muj se bichar gaye..
wo jo mohabbaton k assaas thay wohi log muj se bichar gaye...

jinhain manta hi nahi yeh dil wohi log hian mere hamsafar...
mujay her tara se jo raas thay wohi log muj se bichar gaye...

yeh khiyaal saray hain arzi yeh gulaab saray hian kaghazi...
gul e arzoo ki jo baas thay wohi log muj se bichar gaye....

mujay lamha bhr k rafaqton k sairaab aur sataain gaye...
meri umr bhr ki jo piyaas thay wohi log muj se bichar gaye...

jinhain kar saka na kabool main wohi shreek e rah safar hoay...
jo meri talab thay jo meri aaas thay wohi log muj se bichar gaye...

meri dharkano k kareeb thay meri chah thay mera khaab thay...
wo jo roz o shab meray pass thay wohi log muj se bichar gaye....

Ehsas bohat hoga jb..........

Ehsas bohat hoga jab chor kar jaeinn gey,

Royien gey bohat magar, ansoo na ayengey,

Jab saath na dey koi tu awaaz hamein dena,

Asmaan per bhi hon gey tu lout ayen gey

Saturday, April 12, 2008

Q nahe jata.......

ik shakhs ko kho janay ka dar Q nahi jata
yeh bojh mere dil se utr Q nahi jata

manzil pe ponch kar bhi ussay khona paray ga
yeh tay hai to phr shok e safar Q nahi jata

Laboon pe geet tu aankhon mein......

Laabon pe geet tu aankhon mein khowab rakhte thay
kabhi kitabon mein hum bhi gulaab rakhte thay

kabhi kisi ka jo hota tha intezar humain
bara hi sham-o-sehar ka hisaab rakhte thay

Main ne faslon ko.......

main nay faslon ko mitaya wo judai kr gya
kitna masoom tha lakin bewafai kr gya

wo sikha gya kissi pay aitebaar na karna
kitni burai kr k ik achai kr gya

Nahe fursat.........

nahi fursat yaqeen mano aur kuch karnay ki ...

teri batain teri yadain bahut masroof rakhti hian

Masrofiat..............

MUSROFIAT.......
yaad anay ki kis ko fursat hai
bhool janay ki kis ko fursat hai
kis ko fursat hai Hal-E-Dil poochay
aur batanay ki kis ko fursat hai
Dard-E-Dil bantna to dor ki bat
dil dukhanay ki kis ko fursat hai
ban rahay hain makaan charoon taraf
ghar banany ki kis ko fursat hai
ab bhi khiltay hain phool darya paar
tor lanay ki kis ko fursat hai
koi tabdeli kaisay aay FAHAD
sir uttanay ki kis ko fursat hai

Main wohe hn.......

Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen
Din Main 100 Bar Mera Naam Liya Kertey Theen

Aaj Kya Baat Hay Kiyo Mujh Say Khafa Bethy Ho..
Kya Kisi Aur Ko Dildar Apna Bana Bethey Ho..

Fasley Itney Tu Pehley Na Huwa Kertey They..
Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen

Kahan se laon............

Kahan Say Laoun Hunar Ab osy Manany Ka,

Koi Jawaz Nahi Us K Roth Jany Ka,

Mohabbaton Main Saza Bhi Mujhhe Ko Milne The,

K Jurm Mainy Keya Rabty Barhany Ka,

Na gham hai na hai ehsas khushi ka.....

Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.

Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.

Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.

Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.

Mujhe her kam se pehlay.....

Mujay Her Kam Sey Pehlay
Sehar Sham Sey Pehlay
Yehi Ek Kam Kerna Hay

Tumhara Nam Layna Hay
Tumhe Ko Yad Kerna Hay

Tumhare Yad Hay Dil Mein
Koe Burbad Hay Dil Mein
Usey Abad Kerna Hay

Tumhara Nam Layna Hay
Tumhee Ko Yad Kerna Hay..

Sunte hain......

Suntay Hain Kay Mil Jatee Hay Her Cheez Dua Say

Ek Roz Tumhein Maang Kay Dekhain Gay Khuda Say

Duniya Bhi Mile Hay Ghum-E-Dunia Bhi MIla Hay

Wo Kyun Nahi Milta Jisey Manga Tah Khuda Say

Tamana se nahe.........

Tammana se nahi tanhai se darte hain

pyaar se nahi ruswaai se darte hain

milne ki to bohat chahat hai

par milne ke baad judaai se darte hain

Baaton baaton me.....

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkee
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Badnam mere pyar ka.........

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........

Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........

Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....

Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....

Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...

Maine tere nazar me........

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

Thursday, April 10, 2008

Bay baat bigharte rehte ho

Bay baat bighertay rahtay ho
Bay chain hamesha rahtay ho

Yah sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho

Ratoon ko jagtey rahtey ho
Aur taray bhi tum gintay ho

Yah sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertey ho

Ziker jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai

Bay chain say tum ho jatey ho
Kiya ISHQ mugh hi say kertay ho

Monday, April 7, 2008

BAAZ DAFA.

Baaz Dafaa Chehray Dekhnay Ki Zaroorat Nahi Hoti
Sirf Aawazon Ki Zaroorat Hoti Hai

Kisi Aisi Aawaaz Ki jis Mein Aap Ke Liay Hamdardi Ho
Jo Aap Ke Wujood Ke Tamaam Nasooron Ko Nashtar Ki Tarhaa Kaat Phainkay Or Phir Bohat Narmi Se Har Ghaao Ko See De...

KUCH IS QADAR B ASAN NAHE ISHQ TERA

Kuch is qadar bhi to aasan nahi ishq tera
Ye zehar dil mein utar kar he raas aata hai

Main tujh ko paa ke bhi khoya sa rehtaa hoon
Kabhi kabhi to mujhe toone theek samjha hai

Mujhay khabar hai ke kayaa hai judaaiyon ka azaab
Ke maine shaakh se gul ko bichartay dekha hai

Main muskuraa bhi paraa hoon to kiyun khafa hai ye log
Ke phool tooti huee qabar par bhi khiltaa hai

Usay ganwaa ke main zinda hoon is tarhaa Mohsin
Ke jese taiz hawaa mein charaagh jalta hai

KIYA MILA MUHABBAT SE?

Kayaa mila mohabbat se?

Khaab ki tamaazat se
Wasl ki tamaazat se
Roz-o-Shab rayaazat se

Kayaa mila mohabbat se?

Aik hijar ka sehraa
Aik shaam yaadon ki
Ik thakaa huaa aansu

MUHABBAT ME BADAL GAYA ANDAZ APNA

muhabbat main badal gaya andaz apna
na koi chupaya hum na raz apna

rah ha khuly maut ki apny laiy
pyar main gharaq ha jahaz apna

pagal na hona pyar main logo
hum ko kho chuky hain saz apna

aray bin muhabbat ka qabal_e_tareef thy
aray muhabbat main tu kho dya ijaz apna

aray wo tu pyar ky dawy karty thy
par ab tu logo main na rakha lihaz apna

pyar ka tamga ya mila ky ruswa huwy
zalil_o_ruswa hain bas yahy ha aizaz apna

bhol gaiy har cheez pyar main jo
har gaiy har yaar aur hum raaz apna

dil ki rah hamwar nahi hoty ha
pyar ko banaya tha muhaz apna

pyar ko bholna gaiy tu takleef na hoty
par rakhna na doston main bhy lihaz apna

ab hum hum sada baland karty hain pyar na karna
bas ab yahy maqsad ha aur yahy ha muhaz apna

KAHN KIS SE JA KAY QISAY DRD O GHAM

kahon kis sa ja ky qisaey dard_o_gam
koi hamnasheen ha na yarr ha
jo anees ha tary yaad ha
jo shafeque ha dil_e_zar ha
ya naveeden auron ko ja suna
hum asere dam hain aiy saba
humain kya jo rang_e_chaman ha
humain kya jo faslay bahar ha
humain rahm aata ha daikh kar
tara haal ArIf noha gar
tujhay wo bhy chaiy khuda kary
k tu jis ka aashiq_e_zar ha

Thursday, April 3, 2008

Mujhe galay laga lo bht udas hn me.

Mujay Galay Laga Lo Buhat Udas Hon Main
Ghum-E-Jahan Say Chora Lo Buhat Udas Hon Main

Yeh Intezar Ka Dukh Ab Saha Nahi Jata
Tarap Rahi HaiMohabbat Raha Nahi Jata

Tum Apnay Pas Bola Lo Buhat Udas Hon Main
Har Ek Sans Main Milnay Ki Piyas Palti Hai

Sulag Raha Hai Badan Aur Rooh Jalti Hai
Bacha Sako Tu Bacha Lo Buhat Udas Hon Main

Bhatak Choka Hoon Buhat Zindagi Ki Rahon Main
Mujay Ab Aa Kay Chopa Lo Tum Apni Bahoon Main
Mera Sawal Na Talloo Buhat Udas Hon Main......

Koi tmsa aur koi milay

Koi tum sa aur kahan miley
Yunhi kabhi kisi raah mein

Kabhi chalte chalte nigaah mein
Aisa koi miley mujhe

Jo mere liye pareshan ho
Jisey khud pe mera gumaan ho

Wo jahan rahe wo jahan rukey
Usey mujh se milney ki aas ho

Jo duur bhi ho tou mujhe yun lagay
Kahin mere aas paas ho

Meri zaat ke jo qareeb ho
Main dua kerun usey her qadam

Koi aisi khushi naseeb ho
Jo uss ke saaray gham,saaray dukh

Iss tarha se mitta sakay
Ke wo phir kabhi na udas ho

Magar mere liye bus tum he ho
Koi tum sa aur kahan miley

Meri zaat ke jo qareeb ho
Main dua kerun usey her qadam

Koi aisi khushi naseeb ho
Ke wo phir kabhi na udas ho

Magar mere liye bus tum he ho
Koi tum sa aur kahan miley

Toote hoe

Toote Hue

Toote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundthii Hoon
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundthii Hoon

Naadan Hoon Mein Abb Tak Yeh Bhi Nahin Samjhe
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundthii Hoon

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundthii Hoon

Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthii Hoon

Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundthii Hoon

Wo lub k jesay saghar o sheba dikhai dey.

wo lub k jesy saghar o sehba dikhai dey
jumbish bhi ho agar to jaam chalakta dikhai dey

us tishna lub ki neend na tootey dua karo
jis tishna lubb ko khuwab meN bhi dariya dikhai dey

kia husn hey, kia ada hey, kia rung roop hey
wo bheeR meN bhi jaye to tanha dikhai dey

Jinhe dil se chaha jaihe dil se pooja

Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja

Nazar arahe hain woh hi ajnabi se

Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani

Shikayat nahi hai koi Zindagi se

Ye seeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhagee

Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
Kisse kya khabar hai kahan toot jayen

Mohabbat ke darya main tinke wafa ke
Na jaane yeh kis morr per doob jayen

Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi
Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka

Lagaye hain humne bhi sapno ke podde
Magar kya bharosa yahan baarishon ka

Muradon ki manzil ke sapno main khoye
Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the

Zara door chal ke jab Aankhein khuli to
Karri dhoop main hum akele kharre the

Kbhe mujhe apna bna kr to daikho

Kabhi Mujhe apna bana ke to dekho,
Kabhi tum bhi mujhse Dil laga ke to dekho,

Zamaana tumhe apna banana chahata hai,
Kabhi mujhe apne dil mein basa ke to dekho.

Zamaane ne diye hain yun to laakhon zakhm,
Kabhi un zakhmon par malham laga ke to dekho,

Tumhe milenge yun to Saahil bahut,
Magar mujhe Kinara bana ke to dekho

Dhadakte dil ko sahara mil jayega,
Kabhi mujhe gale se laga ke to dekho

Ishq ek Aisa nasha hai jo bhula de is Jahaan ko,
Is mein zara doob ke to dekho

Kabhi Mujhe apna bana ke toh dekho,
Kabhi tum bhi mujhse Dil laga ke to dekho ...

Mujhe gale se laga lo k bht udas hon me

mujhe galey se laga lo bohat udaas hon mai
gham e jahan se churalo bohat udaas hon mai

ye intezar ka dukh ab saha nahi jata
tarap rahi hai mohabbat raa nahi jata

tum apne pas bulalo bohat udaas hon mai
har eik saans mai milney ki pyaas palti hai

sulag raha hai badan or roh jalti hai
bacha sako to bacha lo bohat udaas hon mai

bhatak chuka hon bohat zindagi ki rahon mai
mujhe ab aa k chupalo tum apni bahon mai

mera sawal na talo bohat udaas hon mai ...

Uski aankhon me mohabbat ka sitara hoga.

Uski Aakhon me Mohabbat ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye ga wo Shaks Humara Hoga….!
Zindagi Ab k Mera Naam na Shamil Karna.
Gar Ye tay hai k yahi Khel Dobara Hoga…..!
Jis k Honay se Meri Saans Chala Karti thi
Kis Tarha us k Bageir Apna Guzara hoga.
Ye Achanak jo Ujala sa hua Jata hai………
Dil ne Chupke se tera Naam Pukara hoga.
Ishq karna hai to Din raat usay Sochna he.
Kuch Aur Zehan me Aaya to Khasara hoga.
Ye jo Pani me chala aaya he Soneri Sa Ghuroor
Usne Darya me kahin Paoon Utara hoga….!
Jo Meri Rooh me Badal se Gharajte hai WASI.
Usne Seenay me koi DARD utara hoga…..!
Kaam Mushkil hai maghar JEET hi Loonga
UskOoMeray MOULA Ka WASI Joonhi Ishara hoga ...

Sb ne kaha dosti ik dard hai

sub ne kaha dosti ek dard hai

humne kaha ke dard kabool hai

sub ne kaha dard ke sahare reha na paooge

hum ne kaha ke dosti ke sahare marna kabool haiii

Wednesday, April 2, 2008

Chehron Mein 1 Chehra Khojne Ki Adat Hai,

Chehron Mein 1 Chehra Khojne Ki Adat Hai,

Mujhko Bheer Me Beth Kar Sochne Ki Adat Hai,
Gila Ho B to kya unse Sitam Gari ka K jinhain

Phool Shakhon Se Nochane ki Adat Hai,

Mat Dhoonda kejiye Mere Har Lafz Ki Tasweer,

Min To Pagal Hon Mughay Youn Hi Bolne Ki Adat Hai,

WaQt Hai Nhi Dunya K paas Mujhay Ja"nay Ka

Aur Mujhko B kab Apna Aap Kholne Ki Adat Hai

Tum Shish Ho to Phir Mujh Se Door He Raho

Main Pathar Hon Mujhay Shisha Tornay Ki Adat Hai,

kissay Batain k Jeevan k kar_E_Zaar main Hum

kissay Batain k Jeevan k kar_E_Zaar main Hum Ajeeb Haray Howe Log Hain

k hr Lamha shakisat-E-Zaat ki tasveer mein mUQeed hain