Sunday, June 15, 2008

Main tere bin.............

Main tere bin,
Ek namuraad shaam hoon.

Main tere bin,
Ek sisakta khwab hoon.

Main tere bin,
Jaise khiza mein dooba abrr.

Main tere bin,
Jaise lute khayalon ki kabrr.

Main tere bin,
Nadi dabe armaan ki.

Main tere bin...
Ek sadi intzaar ki...........

No comments: