Khud Apne Liye Beth Ke Sochengey Kisi Din
Yun Hai Ke Tujhe Bhool Ke Dekhengey Kisi Din...
Bhatkey Hoey Phirtey Hain Kayi Lafz Jo Dil Mein
Dunya Ne Diya Waqt To Likhengey Kisi Din...
Hil Jayengey Ikk Baar Tau Arshon Ke Dar-O-Baam
Yeh Khaak Nasheen Log Jo Bolengey Kisi Din...
Apas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahin Waqt
Har Baar Yeh Kehtey Hain Ke Bethengey Kisi Din...
Ae Jaan Teri Yaad Ke Benaam Parinday
Shakhon Pe Mere Dard Ki Utrengey Kisi Din...
Jaati Hia Kisi Jheel Ki Gehrayi Kahan Tak
Ankhon Mein Teri Doob Ke Dekhengey Kis Din...
Khush Boo Se Bhari Shaam Mein Jugnoo Ke Qalam Se
Ik Nazam Tere Wastey Likhengey Kisi Din...
Soyengey Teri Aankh Ki Khuluwat Mein Kisi Raat
saaye mein terii zulf ke jaagenge kisii din.....
Sehraye Kharabi Ki Isi Gard-E-Safar Se
Pholon Se Bhare Rastey Niklengey Kisi Din...
Khushbu Ki Tarah,Misal-E-Saba,Khwaab Numa Se
Galiyon Se Tere Shehar Ki Guzrengey Kisi Din...
FAHAD Hai Yehi Ab Ke Kafan Bandh Ker Sir Per
Uss Shehar-e-Sitamgar Mein Jayengey Kisi Din...............
Showing posts with label Ghazal.. Show all posts

Friday, June 20, 2008
Vo baat baat me.............
Vo baat baat men itna badalta jaata hai.....................
ki jis tarah koii vada badalata jaata hai.
yeh aarzoo thi ki ham us ke sath saath chale,
magar vo shaks to rasta badalta jaata hai.
jo tez dhoop men sar par raha vahii aanchal,
hawaa chali hai to kitna badalta jaata hai.
root-e-vishaal ki ab khwaab honewaali hai,
ki us ki baat ka lehja badalta jata hai.
vo baat kar jise duniya bhi mautbar samajhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai.............

Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de........
Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey,
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey.
Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey,
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey.
Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan,
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey.
Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon,
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey.
Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se,
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey................

Ek ghulab tha.............
Ek gulab tha,
Bara udaas tha.
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa,
Shabnam k ansoo rawaan the us k,
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa,
Bahar ka tha mausam phir bhi na khila tha,
Dali se tha who apni kuch jhuka jhuka sa,
Main ne jo dekha usee,
Pass ja k pocha us se,
Kyon hai udaas tu?
Kyon kerta hai dil barbad tu?
Kis ko kerta hai yaad tu?
Yeh sun ker who rone laga,
Shabnam k ansoo se moon dhone laga,
Or rotay rotay bas yeh kehne laga,
Mera yaar mujh ko chor geya hai,
Mera pyar mujh se moun moor geya hai,
Ab main kis k liye khil jaoon,
Ab main kis k liye khushboo mahkaoon,
Mujhe kon apne dil se lagae ga,
Mujh ko kon apni sansoon me basae ga,
Mera chaman ujar geya hai,
Mera yar mujh se bichar geya hai,
Bas ab to her lamha us ki yaad hai,
Bas beqarari hai, tarap hai faryaad hai,
Mujh ko koi mere yaar se mila dai,
Mujh ko koi mera pyar lotaa de,
Woh aye ga tu khil jaoon ga main,
Apni zindagi se mil jaoon ga main..............................

Samundar me utarta hn to..........
Samundar mein Uterta hoon to aankhaain beegh jati hain
Teri ankhoon ko perhta hoon to ankhain beegh jati hain
Tumhara naam likhne ki ijazat chin gayee jab se
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain beegh jati hain
Teri yaadoo ki khushboo khirkiyoon mein raqs kerti hai
Tere gam mein sulaghta hoon to aankhain beegh jati hain
Main hans ke jhail laita hoon judyee ki sabi rasmain
Galay jab us ke lagta hoon to ankhain beegh jati hain
Na janay ho gaya hoon is qadr hasaas kab se
Kisi se baat kerta hoon to ankhain beegh jati hain
Woh sab guzre huay lamhaat mujh ko yaad ate hain
Tumhare hat jo perhta hoon to ankhain beegh jati hain
Main sara din bohat masroof rehta hoon magr yunhi
Qadam chokhat pe rakhta hoon to ankhain beegh jati hain
Tere kooche say ab mera ta'aluk wajbi sa hai
Magr jab bhi guzrta hoon to ankhain beegh jati hain
Hazaaro mosmoo ki khukmaraani hai mere dil pe
"Fadi" main jab bhi hansta hoon to ankhain beegh jati hain....

Apnay hathon ke lakeron me basa le mujhko..........
Apney Hathon Ki Lakeeron Main Basa Ley Mujh Ko,
Main Hoon Tera Naseeb Apna Bana Ley Mujh Ko.
Mujh Sey Tu Poochney Aya Hey Wafa Key Maini,
Yeh Teri Saada Dili Maar Na Daaley Mujh Ko.
Main Sumandar Bhi Hoon, Moti Bhi, Ghota Zan Bhi,
Koi Bhi Naam Mera Ley Key Bula Ley Mujh Ko.
Tu Ney Dekha Nahi Aainey Sey Agey Kuch Bhi,
Khuda Parasti Main Kahin Tu Na Ganwa Ley Mujh Ko.
Kal Ki Baat Or Hey Main Ab Sa Ruhoon Ya Na Ruhoon,
Jitna Jee Chahey Tera Aaj Sata Ley Mujh Ko Khud Ko.
Main Bant Na Daloon Kahin Daman Daman,
Ker Diya Tu Ney Agar Merey Hawaley Mujh Ko.
Main Jo Kanta Hoon To Chal Mujh Sey Bacha Ker Daman,
Main Hoon Agar Phool To Joorey Main Saja Ley Mujh Ko.
Main Khuley Der Key Kisi Gher Ka Hoon Saman Pyarey,
Tu Dabey Paoon Kabhi Aa Ker Chura Ley Mujh Ko.
Tark-E-Ulfat Ki Qasam Bhi Koi Hoti Hey Qasam,
Tu Kabhi Yaad To Ker Bhoolney Waley Mujh Ko.
Baadah Phir Baadah Hey Main Zeher Bhi Pee Jaon Qateel,
Shart Yeh Hey Koi Banhon Main Sanmbhaley Mujh Ko....................

Ye hakikat bhi..........
ye hakikat bhi,khayal bhi,ittefaq bhi hai.
Na zamaNe me kahi,NA ye Kisi Akhbar me hai.
kisi ki saadgi,baaNi me,kisi k Afkar me hai,
wo salabat_wa_shafakkat,FaHaD ke kirdar me hai.
mera khilna,wo mehekNa,Wafa ke khilte wo kaNwal.
Hasrat_E_HASSAS_wo_MEHEL bhi,mere sarkar me hai.
mili khushiya,Hue hum Ek,hua Ek Saal pura.
sath ke Ehsaas ki khabar,mere is Ashaar me hai.
Meri khushiya,meri chahat,apke izhaar me hai,
Rukhsati zamaNe se meray FaHaD,apke iNkaar me hai.
palke jo meri Aram ka,AAJ Naam Nahi leti,
wo pyar,wo wafao ka ajar,fAhAd Ke saath me hai.
har janam me Ek ho,hum ye dekhe kiye hai khuwab,
wo INAYAT,wo ZIYARAT,FaDiii ke taabirat me hai.........

Dil ke chujhat pe..............
Dil ke chukhat pe aik deep jala rakha hai,
Tere aane par makan saza rakha hai.
Saans tak nahi lete tujhe sochte waqt,
Hum ne iss kaam ko bhi kal pe utha rakha hai.
Ruth jate ho to kuch or hasin lagte ho,
Yeh soch kar tum ko hum ne khafa rakha hai.
Tum jise rota hua chor gaye the ek din,
Hum ne uss shaam ko seene se laga rakha hai.
Chain lene nahi deti yeh kisi or mujh,
Teri yaado ne jo tufan utha rakha hai.
Jane wale ne kaha tha woh laut ke ayegi jrur,
Ek aise ass par darwaja khol rakha hai.
Tere jane ke baad ek dhool uthi thi gum ki,
Hum ne uss dhool ko apni ankho main basa rakha hai.
Mujhko kal shaam se voh bhut yaad aane lagi,
Dil ne ek muddat se jo ek shakhas bhula rakha hai.
Akhri bar jo aaya tha mera nam "Fahad",
Maine iss khat ko kaleze se laga rakha hai.........

Na shikayat na gila kre.......
Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Jo mere liye hi saja kare…
Mujhi se baatein kya kare...
Kabhi roe voh be panaah…
Kabhi be tahaasha udaas ho…
Kabhi chupke chupke doobe kadam se…
Merey peechey aake hansa kare…
Meri qurbatein meri chahatein…
Kare koi yaad qadar qadar…
Main taveel safar mein hoon agar…
Meri vaapsi ki dua kare…
Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Jo mere liye hi saja kare…
Mujhi se baatein kya kare...
Kabhi roe voh be panaah…
Kabhi be tahaasha udaas ho…
Kabhi chupke chupke doobe kadam se…
Merey peechey aake hansa kare…
Meri qurbatein meri chahatein…
Kare koi yaad qadar qadar…
Main taveel safar mein hoon agar…
Meri vaapsi ki dua kare…
Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Tuesday, June 17, 2008
Tere chahat me hm..............
TERI CHAHAT MAI HUM ZAMANA BHOOL GAI,
TERE BAAD KISI KO APNANA BHOOL GAI,
PHIR LAGA SARA JAHAN WEERANA HUM KO,
JAISEY CHAMAN MAI PHOOL MEHEKNA BHOOL GAI,
TUM SE MUHABBAT HAI BATAYA SAAREU JAHAN KO,
YEH BAAT TUM KO BATANA BHOOL GAI,
HAMNEY MITA DIYA JAHAN BHI LIKHA THA NAAM TERA,
MAGER APNEY DIL SE MITANA BHOOL GAI,
WOH JUDA HOWEY HUM SE MUSKURATEY HOWEY,
MAGER APNI PALKON SE AANSU HATANA BHOOL GAI....................

Sunday, June 15, 2008
Kat hi gaii................
Kat hii gaii judaaii bhii kab yuun huaa ke mar gaye,
Tere bhii din guzar gaye mere bhii din guzar gaye,
Tuu bhii kuchh aur aur hai ham bhii kuchh aur aur hain,
Jaane vo tuu kidhar gayaa jaane vo ham kidhar gaye,
Raahon men hii mile the ham raahen nasiib ban gaiin,
Tuu bhii na apane ghar gayaa ham bhii na apane ghar gaye,
Vo bhii Gubaar-e-Khaak thaa ham bhii Gubaar-e-Khaak the,
Vo bhii kahiin bikhar gayaa ham bhii kahiin bikhar gaye,
Koii kinaar-e-aab- e-juu baithaa huaa hai sar_niguun,
Kashti kidhar chalii gaii jaane kidhar bhanvar gaye,
Tere liye chale the ham tere liye thahar gaye,
Tuu ne kahaa to jii uthe tuu ne kahaa to mar gaye,
Vaqt hii kuchh judaaii kaa itanaa taviil ho gayaa,
Dil men tere firaaq ke jitane the zaKhm bhar gaye,
Baarish-e-vasl vo huii saaraa gubaar dhul gayaa,
Vo bhii nikhar nikhar gayaa ham bhii nikhar nikhar gaye,
Itane qariib ho gaye itane raqiib ho gaye,
Vo bhii Dar gayaa ham bhii Dar gaye..................

Q.......................
Q aaj tumpar gazal likhna chahta hoo main,
Q na chaahkar bhi tumhe sochata rehta hoo main,
Q tumse dur jaane k naam par darr jaata ho main,
Q teri ek jhalak paane ko taras jaata hoo main,
Q teri tasveer ko aksar ghoorta rehta hoo main,
Q teri tasveer apne saath liye firta hoo main,
Q tumhe apni jazbaat batana chahta hoo main,
Q tumhe apna banna chahta hoo main,
Q tum mujhse door bahut door chali jaati ho,
Q nahi tum meri chahat ko samajhpati ho,
Q har baat zabaan se bataani padti hai,
Q nahi khamoshi hi sab_kuch kehti hai,
Q teri udaasi par ro padta hoo main,
Q nahi tere saare gam le sakta hoo main,
Q tere ruksaar choomna chahta hoo main,
Q tumhe baahon me bharna chahta hoo main,
Aakhir kyon tumhe paana chahta hoo main,
Q tumhe apna banana chahta hoo main,
Q aakhir Kyon aaj tumpar gazal likhna chahta hoo main...

Tera haath thama..........
Tera haath thaama,
To chhuraya na gaya.
Dil mein itna dard tha,
K chhupaya na gaya.
Dekha tera chehraa,
To nazro ko hataya na gaya.
Bheega aisa daman,
Ki sukhaya na gaya.
Tu na mili to jaise na mili jannat,
Mere mehboob tere bin dil ko,
Karaar na aaya,
na gaya.
To chhuraya na gaya.
Dil mein itna dard tha,
K chhupaya na gaya.
Dekha tera chehraa,
To nazro ko hataya na gaya.
Bheega aisa daman,
Ki sukhaya na gaya.
Tu na mili to jaise na mili jannat,
Mere mehboob tere bin dil ko,
Karaar na aaya,
na gaya.
Ye chand bhe wohe hai................
Ye chand bhi wahi hai aur raat bhi wahi hai,
yadon ki mere dil main baraat bhi wahi hai.
tum door the to kal bhi per faasle nahn the,
mujhko rula de aake vo kafile nahn the.
is dil main tere sang ki parchaiyan hai baaki,
mujhse karein jo baatein vo aahtein nahn hai.
mere saath hi raho tum chaha tha kab ye maine,
kah dun tumhein jo apna vo aas bhi nahn hai.
chahe jahan bhi jao dil main yun hi rahoge,
badle ho shayad tum per mere dil ka ghar wahi hai...............

ROG............
"ROG"
sath chalny waly jb...
sath chor jaty hain...
waqt tham nahe jata..
or mar nahe jata..
koe mar b jy to..
zindagi nahe rukti..
rastoon ko chalna hai..
rasty to chalty hain...
yar dost b milty hain...
zakham asy silty hain..
gard gard lamhoon mein..
umer kat hee jati hai..
kuch musaferoon ko...
bs manzilain nahe milti..
na jany ku bicher jaty hain wo log..
jinki yadain bn jati hain..
umer bher ka..
"ROG"....
sath chalny waly jb...
sath chor jaty hain...
waqt tham nahe jata..
or mar nahe jata..
koe mar b jy to..
zindagi nahe rukti..
rastoon ko chalna hai..
rasty to chalty hain...
yar dost b milty hain...
zakham asy silty hain..
gard gard lamhoon mein..
umer kat hee jati hai..
kuch musaferoon ko...
bs manzilain nahe milti..
na jany ku bicher jaty hain wo log..
jinki yadain bn jati hain..
umer bher ka..
"ROG"....
Monday, June 2, 2008
Dost bn kr bhi..........
dost ban kar bhi nahin saath nibhaane vaalaa
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaane vaalaa
ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam mein laane vaalaa
kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
vo jo ik shaKhs hai muu pher ke jaane vaalaa
tere hote hue aa jaati thi saari duniyaa
aaj tanhaa huun to koi nahin aane vaalaa
muntazir kis kaa huun TuuTii howi dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aane vaalaa
main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalate
hai koi Khvaab ki taabiir bataane vaalaa
kyaa Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itanaa
hai vahi mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa
tum taqalluf ko bhi iKhalaas samajhate ho 'Fahad'
dost hotaa nahin har haath milaane vaalaa ..........

Main ne pocha...........
main ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uThaayegaa
aaii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kehalaayega
apuuchh sake to puuchhe koi ruuth ke jaane vaalon se
roshaniyon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayega
alogo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
piichhe murr kar dekhane vaalaa patthar kaa ho jaayegaa
din mein hansakar milane vaale chehare saaf bataate hain
ek bhayaanak sapanaa mujh ko saarii raat Daraayegaa
mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa
gaalii degii duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaayegaa
suukh gai jab in aankhon mein pyaar ki neelii jheal
'Qateel'tere dard kaa zard samandar kaahe shor machaayegaa

Us ne kaha mujhse..........
Us ney kaha mujh sey tumhain kitna piyar hey??
Main ney kaha sitaaron ka koi shumaar hey??
Us ney kaha key kon tumhain hey bohat azeez?
Main ney kaha merey dil pey jisey ikhtiyaar hey.
Us ney kaha kon sa Tohfa tumhain main doon?
Main ney kaha woh shaam jo ab tak udhar hey.
Us ney kaha khizan main mulaqat ka jawaaz...??
Main ney kaha key qurb ka matlab bahaar hey.
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain,
Main ney kaha key gham nahin jab ghamgusar hey.
Us ney kaha saath kahan tak nibhaao gey...?
Main ney kaha jitna yeh saanson ka taar hey.
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kis tarah,
Main ney kaha key naam mera aitbaar hey....

Mohabbat chor de hmne...........
Abhi Jo Tum Laut ker Phir tum,
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum,
Humare Dar pe Aaye Ho,
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne,
K Tum Bin Reh Nahi Sakte,
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte,
Kaha Tum Se Kis Ne k,
Hum Tum Bin Bohat Roye,
Kai Raato'n Ko Na SoyeSuno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se,
Agar,
Beetay Huey Lamho'n Ko,
Tumne Wapis Lana Hai,
Humari Zindagi ain Humain,
Wapis Bulana Hai,
Mujhe Afsos Hai Jana'n,
K Tum Mayoos Lauto Ge,
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa,
Kion Kia Hum Ne,
Ye Gham Seh Lia Hum Ne,
TOU SUNO GAUR SE JANA'N,
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat,
Tor Di Hum Ne,
"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . ..
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum,
Humare Dar pe Aaye Ho,
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne,
K Tum Bin Reh Nahi Sakte,
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte,
Kaha Tum Se Kis Ne k,
Hum Tum Bin Bohat Roye,
Kai Raato'n Ko Na SoyeSuno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se,
Agar,
Beetay Huey Lamho'n Ko,
Tumne Wapis Lana Hai,
Humari Zindagi ain Humain,
Wapis Bulana Hai,
Mujhe Afsos Hai Jana'n,
K Tum Mayoos Lauto Ge,
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa,
Kion Kia Hum Ne,
Ye Gham Seh Lia Hum Ne,
TOU SUNO GAUR SE JANA'N,
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat,
Tor Di Hum Ne,
"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . ..
Har ghdi khud se..............
Har ghadi khud se ulajhna hai mukadar mera,
Main hi kashti hoon mujhme hai samundar mera,
Ek se ho gaye mousamon ke chehre saare,
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera,
Kisse poochu ke kaha gum hoon kai barso se,
Har jagah dhoondta phirta hai mujhe ghar mera,
Mudadtein ho gayi ek khawaab sunehra dekhe,
Jagta rehta hai har neend mein bistar mera,
Har ghadi khud se ulajhna hai mukkadar mera,
Main hi kashti hoon mujhie mein hai sumandar mera..................

Subscribe to:
Posts (Atom)