Friday, June 20, 2008

Khud apnay liye.............

Khud Apne Liye Beth Ke Sochengey Kisi Din
Yun Hai Ke Tujhe Bhool Ke Dekhengey Kisi Din...

Bhatkey Hoey Phirtey Hain Kayi Lafz Jo Dil Mein
Dunya Ne Diya Waqt To Likhengey Kisi Din...

Hil Jayengey Ikk Baar Tau Arshon Ke Dar-O-Baam
Yeh Khaak Nasheen Log Jo Bolengey Kisi Din...

Apas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahin Waqt
Har Baar Yeh Kehtey Hain Ke Bethengey Kisi Din...

Ae Jaan Teri Yaad Ke Benaam Parinday
Shakhon Pe Mere Dard Ki Utrengey Kisi Din...

Jaati Hia Kisi Jheel Ki Gehrayi Kahan Tak
Ankhon Mein Teri Doob Ke Dekhengey Kis Din...

Khush Boo Se Bhari Shaam Mein Jugnoo Ke Qalam Se
Ik Nazam Tere Wastey Likhengey Kisi Din...

Soyengey Teri Aankh Ki Khuluwat Mein Kisi Raat
saaye mein terii zulf ke jaagenge kisii din.....

Sehraye Kharabi Ki Isi Gard-E-Safar Se
Pholon Se Bhare Rastey Niklengey Kisi Din...

Khushbu Ki Tarah,Misal-E-Saba,Khwaab Numa Se
Galiyon Se Tere Shehar Ki Guzrengey Kisi Din...

FAHAD Hai Yehi Ab Ke Kafan Bandh Ker Sir Per
Uss Shehar-e-Sitamgar Mein Jayengey Kisi Din...............

Vo baat baat me.............

Vo baat baat men itna badalta jaata hai.....................
ki jis tarah koii vada badalata jaata hai.

yeh aarzoo thi ki ham us ke sath saath chale,
magar vo shaks to rasta badalta jaata hai.

jo tez dhoop men sar par raha vahii aanchal,
hawaa chali hai to kitna badalta jaata hai.

root-e-vishaal ki ab khwaab honewaali hai,
ki us ki baat ka lehja badalta jata hai.

vo baat kar jise duniya bhi mautbar samajhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai.............

Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de........

Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey,
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey.

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey,
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey.

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan,
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey.

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon,
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey.

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se,
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey................

Ek ghulab tha.............

Ek gulab tha,
Bara udaas tha.
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa,
Shabnam k ansoo rawaan the us k,
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa,
Bahar ka tha mausam phir bhi na khila tha,
Dali se tha who apni kuch jhuka jhuka sa,
Main ne jo dekha usee,
Pass ja k pocha us se,
Kyon hai udaas tu?
Kyon kerta hai dil barbad tu?
Kis ko kerta hai yaad tu?
Yeh sun ker who rone laga,
Shabnam k ansoo se moon dhone laga,
Or rotay rotay bas yeh kehne laga,
Mera yaar mujh ko chor geya hai,
Mera pyar mujh se moun moor geya hai,
Ab main kis k liye khil jaoon,
Ab main kis k liye khushboo mahkaoon,
Mujhe kon apne dil se lagae ga,
Mujh ko kon apni sansoon me basae ga,
Mera chaman ujar geya hai,
Mera yar mujh se bichar geya hai,
Bas ab to her lamha us ki yaad hai,
Bas beqarari hai, tarap hai faryaad hai,
Mujh ko koi mere yaar se mila dai,
Mujh ko koi mera pyar lotaa de,
Woh aye ga tu khil jaoon ga main,
Apni zindagi se mil jaoon ga main..............................

Samundar me utarta hn to..........

Samundar mein Uterta hoon to aankhaain beegh jati hain
Teri ankhoon ko perhta hoon to ankhain beegh jati hain

Tumhara naam likhne ki ijazat chin gayee jab se
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain beegh jati hain

Teri yaadoo ki khushboo khirkiyoon mein raqs kerti hai
Tere gam mein sulaghta hoon to aankhain beegh jati hain

Main hans ke jhail laita hoon judyee ki sabi rasmain
Galay jab us ke lagta hoon to ankhain beegh jati hain

Na janay ho gaya hoon is qadr hasaas kab se
Kisi se baat kerta hoon to ankhain beegh jati hain

Woh sab guzre huay lamhaat mujh ko yaad ate hain
Tumhare hat jo perhta hoon to ankhain beegh jati hain

Main sara din bohat masroof rehta hoon magr yunhi
Qadam chokhat pe rakhta hoon to ankhain beegh jati hain

Tere kooche say ab mera ta'aluk wajbi sa hai
Magr jab bhi guzrta hoon to ankhain beegh jati hain

Hazaaro mosmoo ki khukmaraani hai mere dil pe
"Fadi" main jab bhi hansta hoon to ankhain beegh jati hain....

Apnay hathon ke lakeron me basa le mujhko..........

Apney Hathon Ki Lakeeron Main Basa Ley Mujh Ko,
Main Hoon Tera Naseeb Apna Bana Ley Mujh Ko.

Mujh Sey Tu Poochney Aya Hey Wafa Key Maini,
Yeh Teri Saada Dili Maar Na Daaley Mujh Ko.

Main Sumandar Bhi Hoon, Moti Bhi, Ghota Zan Bhi,
Koi Bhi Naam Mera Ley Key Bula Ley Mujh Ko.

Tu Ney Dekha Nahi Aainey Sey Agey Kuch Bhi,
Khuda Parasti Main Kahin Tu Na Ganwa Ley Mujh Ko.

Kal Ki Baat Or Hey Main Ab Sa Ruhoon Ya Na Ruhoon,
Jitna Jee Chahey Tera Aaj Sata Ley Mujh Ko Khud Ko.

Main Bant Na Daloon Kahin Daman Daman,
Ker Diya Tu Ney Agar Merey Hawaley Mujh Ko.

Main Jo Kanta Hoon To Chal Mujh Sey Bacha Ker Daman,
Main Hoon Agar Phool To Joorey Main Saja Ley Mujh Ko.

Main Khuley Der Key Kisi Gher Ka Hoon Saman Pyarey,
Tu Dabey Paoon Kabhi Aa Ker Chura Ley Mujh Ko.

Tark-E-Ulfat Ki Qasam Bhi Koi Hoti Hey Qasam,
Tu Kabhi Yaad To Ker Bhoolney Waley Mujh Ko.

Baadah Phir Baadah Hey Main Zeher Bhi Pee Jaon Qateel,
Shart Yeh Hey Koi Banhon Main Sanmbhaley Mujh Ko....................

Aaap mile to zindagi.............

Aap Mile to Zindagi ko jaise Sahara Mil Gaya,
Bhatakte Kadmo ko Manzil ka jaise Ishara Mil Gaya,

Dubne hi waale the Jab Hum Ranj-o-Gham ke Samandar mein,
“Aalam” ki Dubti Kashti ko jaise Kinara Mil Gaya.

Raas ayege mujhko bhi.........

Raas Aayegi mujhko bhi,DiN_Raat khushi ke,
baaNdhi thi Bethe_Bethe,Ek Aas usi ki.

jab_jab bhi lab pe dekhiye,tha NaaM usi ka,
har lamha Duao me thi,ek AAs usi ki.

ALLAH khali haath Na duNiya se jauNgi,
bikhri SoNi ki ziNdagi,hai AAs usi ki...........

Ye hakikat bhi..........

ye hakikat bhi,khayal bhi,ittefaq bhi hai.
Na zamaNe me kahi,NA ye Kisi Akhbar me hai.

kisi ki saadgi,baaNi me,kisi k Afkar me hai,
wo salabat_wa_shafakkat,FaHaD ke kirdar me hai.

mera khilna,wo mehekNa,Wafa ke khilte wo kaNwal.
Hasrat_E_HASSAS_wo_MEHEL bhi,mere sarkar me hai.

mili khushiya,Hue hum Ek,hua Ek Saal pura.
sath ke Ehsaas ki khabar,mere is Ashaar me hai.

Meri khushiya,meri chahat,apke izhaar me hai,
Rukhsati zamaNe se meray FaHaD,apke iNkaar me hai.

palke jo meri Aram ka,AAJ Naam Nahi leti,
wo pyar,wo wafao ka ajar,fAhAd Ke saath me hai.

har janam me Ek ho,hum ye dekhe kiye hai khuwab,
wo INAYAT,wo ZIYARAT,FaDiii ke taabirat me hai.........

Unki yaadon mein.........

UNKI YAADON MAIN KABHI HUM SO BHI NA SAKE,
UNKE KHAYALON MEIN KABHI KHO BHI NA SAKE.

JAB JUDAI KA WAQT AAYA TO KISMAT DEKHO,
HUM AANKHON SE RO BHI NA SAKE ...................

Dil ke chujhat pe..............

Dil ke chukhat pe aik deep jala rakha hai,
Tere aane par makan saza rakha hai.

Saans tak nahi lete tujhe sochte waqt,
Hum ne iss kaam ko bhi kal pe utha rakha hai.

Ruth jate ho to kuch or hasin lagte ho,
Yeh soch kar tum ko hum ne khafa rakha hai.

Tum jise rota hua chor gaye the ek din,
Hum ne uss shaam ko seene se laga rakha hai.

Chain lene nahi deti yeh kisi or mujh,
Teri yaado ne jo tufan utha rakha hai.

Jane wale ne kaha tha woh laut ke ayegi jrur,
Ek aise ass par darwaja khol rakha hai.

Tere jane ke baad ek dhool uthi thi gum ki,
Hum ne uss dhool ko apni ankho main basa rakha hai.

Mujhko kal shaam se voh bhut yaad aane lagi,
Dil ne ek muddat se jo ek shakhas bhula rakha hai.

Akhri bar jo aaya tha mera nam "Fahad",
Maine iss khat ko kaleze se laga rakha hai.........

Mohabbat ka sila..........

Mohabbat ka sila kuch nahi,
ek gum ke siwa mila kuch nahi..

Saare armaan to jal ke khaak ho gaye,
Log kehte hain phir bhi jala kuch nahi...

Na shikayat na gila kre.......

Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…
Jo mere liye hi saja kare…
Mujhi se baatein kya kare...
Kabhi roe voh be panaah…
Kabhi be tahaasha udaas ho…
Kabhi chupke chupke doobe kadam se…
Merey peechey aake hansa kare…
Meri qurbatein meri chahatein…
Kare koi yaad qadar qadar…
Main taveel safar mein hoon agar…
Meri vaapsi ki dua kare…
Na shikaayat Na gila kare…
Koi aisa shukz hua kare…

Tuesday, June 17, 2008

Tere chahat me hm..............

TERI CHAHAT MAI HUM ZAMANA BHOOL GAI,
TERE BAAD KISI KO APNANA BHOOL GAI,

PHIR LAGA SARA JAHAN WEERANA HUM KO,
JAISEY CHAMAN MAI PHOOL MEHEKNA BHOOL GAI,

TUM SE MUHABBAT HAI BATAYA SAAREU JAHAN KO,
YEH BAAT TUM KO BATANA BHOOL GAI,

HAMNEY MITA DIYA JAHAN BHI LIKHA THA NAAM TERA,
MAGER APNEY DIL SE MITANA BHOOL GAI,

WOH JUDA HOWEY HUM SE MUSKURATEY HOWEY,
MAGER APNI PALKON SE AANSU HATANA BHOOL GAI....................

Is saleekay se.............

Is saleekhe se mohabbat ko nibhaya humne,

Wehem unko bhi is mohabbat ka hone na diye..............

Na salam yaar rakhna.........

Na salam yaad rakhna, Na payaam yaad rakhna,

Choti si elteja hai, Mera naam yaad rakhna..............

Yeh arzoo rahi..............

YEH AARZOO RAHI UMER BHER K MUHABBATIEN MERE SATH HON,
KABHI AISA ISHQ KIYA NAHI K NIDAMATEN MERE SATH HON.

KOI AISA HARF NAHI LIKHA K HO SHARMSAAR QALAM MERA,
KOI AISA JURM NAHI KIYA WAZAHATEN MERE SATH HON.

FAQAT EK SHAKS KI AARZOO MAIN GUZER RAHI HAI ZINDAGI,
YEH MATLUB NAHI K TAMAM SHEHER KI CHAHATIEN MERE SATH HON..........

Bewafai ka sabab

Bewafai ka sabab aisa hoga k,
Har pal unhe hum nazar aayenge.

Woh humko toh tanha chhod gaye,
Humare khayalon ko na chhod payenge....................

Sapnay toh hamaray bikhrey hain..............

Sapney toh humaare bikharey hai,
Unki aankhon main nami kyo hai.

Chhod kar woh gaye hai tanha humain,
Phir unko humaari kami kyo hai..................

Sunday, June 15, 2008

In khoe hoe aansu se.............

IN KHOE HOWEY AANSU SE AQIDAT HAI MUJHEY BHI -

TERI TARAH ZINDAGI SE SHIKAYAT HAI MUJHEY BHI -

TU AGER NAZUK HAI TO MAIN BHI NAHI PATHAR -

TANHAI MAI RO DENEY KI AADAT HAI MUJHEY BHI -

Koi naraz hai humse.........

KOI NARAZ HAI HUMSE K HUM KUCH LIKHTEY NAHI -

KAHA SE LAI LAFZ JUB WOH MILTEY NAHI -

DARD KI ZUBAN HOTI TO BATA DETE -

WO ZAKHAM KAISE BATAI JO DIKHTE NAHI HAI -

Aansu bhi kharid liye tumne...........

Aansu bhi kharid liye tumne,
Mujhpe kehar dhaane ke liye.

Yaadein to chhod jaate,
Dil pe reham khaane ke liye.

Apne khat bhi le gae,
Badi ruswaeyon k saath.

Ek kafan to de jaate,
Mu chhupane k liye...........

Mujhe tum se "MUHABBAT" hai..........

Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say "MUHABAAT" Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,

Kay.............!!!!!!!!!

Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,
Iss Jhoot MainBhi Ek Sach Bhi Hai,

Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,

Mujhey Tum Say "MUHABBAT" Hai

Kon kehta hai ishq me..........

Kaun kehta hai ishq me bas ikraar hota hai,

Kaun kehta hai ishq me bas inkaar hota hai,

Tanhai ko tum bebasi ka naam na do,

Kyunki ishq ka doosra naam hi intezar hota hai................

Main tere bin.............

Main tere bin,
Ek namuraad shaam hoon.

Main tere bin,
Ek sisakta khwab hoon.

Main tere bin,
Jaise khiza mein dooba abrr.

Main tere bin,
Jaise lute khayalon ki kabrr.

Main tere bin,
Nadi dabe armaan ki.

Main tere bin...
Ek sadi intzaar ki...........

Kat hi gaii................

Kat hii gaii judaaii bhii kab yuun huaa ke mar gaye,
Tere bhii din guzar gaye mere bhii din guzar gaye,

Tuu bhii kuchh aur aur hai ham bhii kuchh aur aur hain,
Jaane vo tuu kidhar gayaa jaane vo ham kidhar gaye,

Raahon men hii mile the ham raahen nasiib ban gaiin,
Tuu bhii na apane ghar gayaa ham bhii na apane ghar gaye,

Vo bhii Gubaar-e-Khaak thaa ham bhii Gubaar-e-Khaak the,
Vo bhii kahiin bikhar gayaa ham bhii kahiin bikhar gaye,

Koii kinaar-e-aab- e-juu baithaa huaa hai sar_niguun,
Kashti kidhar chalii gaii jaane kidhar bhanvar gaye,

Tere liye chale the ham tere liye thahar gaye,
Tuu ne kahaa to jii uthe tuu ne kahaa to mar gaye,

Vaqt hii kuchh judaaii kaa itanaa taviil ho gayaa,
Dil men tere firaaq ke jitane the zaKhm bhar gaye,

Baarish-e-vasl vo huii saaraa gubaar dhul gayaa,
Vo bhii nikhar nikhar gayaa ham bhii nikhar nikhar gaye,

Itane qariib ho gaye itane raqiib ho gaye,
Vo bhii Dar gayaa ham bhii Dar gaye..................

Ktne itminan se wo...........

Ktne itminan se wo thukra gaye mje,

Aansu bna k aankh se tapka gye mje,

Kesi ye rehbri thi ye kesa fareeb tha,

Manzil dikha kr rah se bahtka gye mje.........

Ktne nadan thy..........

Ktne nadan thy toffan ko kinara smjha,

Ktne bejaan saharon ko sahara smjha,

Ktne kamzarf thy wo log jo sahil pe thy,

Hame dobta dekha aur nazara smjhe...........

Q.......................

Q aaj tumpar gazal likhna chahta hoo main,
Q na chaahkar bhi tumhe sochata rehta hoo main,
Q tumse dur jaane k naam par darr jaata ho main,
Q teri ek jhalak paane ko taras jaata hoo main,
Q teri tasveer ko aksar ghoorta rehta hoo main,
Q teri tasveer apne saath liye firta hoo main,
Q tumhe apni jazbaat batana chahta hoo main,
Q tumhe apna banna chahta hoo main,
Q tum mujhse door bahut door chali jaati ho,
Q nahi tum meri chahat ko samajhpati ho,
Q har baat zabaan se bataani padti hai,
Q nahi khamoshi hi sab_kuch kehti hai,
Q teri udaasi par ro padta hoo main,
Q nahi tere saare gam le sakta hoo main,
Q tere ruksaar choomna chahta hoo main,
Q tumhe baahon me bharna chahta hoo main,
Aakhir kyon tumhe paana chahta hoo main,
Q tumhe apna banana chahta hoo main,
Q aakhir Kyon aaj tumpar gazal likhna chahta hoo main...

Mana k aaj hm akele reh gaye..........

Mana k aaj hm akele rah gaye,
Judai k aansu ankhon se bah gaye,

Rote rhe kon chup kraye ga hume,
Jo chup krate thy wohi rone ko kah gaye................

Na janay..............

Na janay q hme annsu bhana nai ata,
Na janay q haal-e-dil batana nai ata,

Q saathi bichar jate hai humesha hmse,
Shayad hume hi saath nibhana nai ata..............

Is shaam ki tanhai se.........

Is shaam ki tanhai se,
Is dard ki gehrai se,

Yeh dil kuch fariyad kar raha hai,
Zara samjho in fizao ki chubhan ko,

Aaj phir tumhe koi yaad karke,
Roya hai...............

Mri zindagi tra saath ho........

Mri zindagi tra saath ho,

Mri zindagi tri baat ho,

Jo jhuke nazr tra khuwab ho,

Jo uthy nazar tri zaat ho,

Mre haath me 1 phool ho,

Wo phool tra hath ho.................!!!

Chahat hai apki..........

Chahat hai apki chahat ko pane ki,
Chahat hai chahat ko aazmane ki,

Aap chahey na chahey par,
Chahat hai aap ki chahat mein mitt jane ki...........

Aap ka ashiyana...........

Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yado ko sinay se lagaya hai,

Pata nahi yaad apki hi kyu aati hai,
Dost to hamne auro ko bhi banaya hai................

Jism ki chadar utar dn.........

Jism ki chadar utar phenkun,
lahron si mil jaun nadi main....

ki tum jab bhi uthao paani,
tumhare hothon ko chum lun main............

Usne ek bar..........

Us ne Ek Baar Kaha tha Mujh se,
Barasti Barish se Ishq hai Usko....

So Uska Ishq Apnane k lye,
Meri Aankhain Her Raat Barasti hain....

Let me just look at u........

Let me just look at you,

let me just peep in your eyes.

There are my dreams…

sleeping and blooming.

there are my wishes buried but alive,

preserve them don’t blink your eyes.

Might they’ll flow out

as tears of first love…!

but don’t cry it will hurt me.

When I will perish,

I’ll be there only in your eyes.

Just close them and see me

because by then…

I’ll exist only in your eyes.......

And I LOVE U.............

Days are yours…
But nights are mine.
Let me there,
On cloud nine.
Don’t shake me up,
From the sleep!
Let me love you In my dreams.
You don’t have time,
To see who loves you.
But all the time,
I keep admiring you.
If you’ll know it . . .
You will scream,
That I love you In my dreams.
Oh! Your gestures they stings,
My heart blows‘n’sinks.
Drunk by your mistaken smile,
Illusions take away me miles.
Mind utters a poetry theme,
And then I love you. .In my dreams.

My love, my song.......

My love, my song,
a wait so long,
My dream, my memory,
my incomplete story.
My proud, my fear,
my spontaneous tears.
My fantasy, my poetry,
my lovely wishing tree.
A light, a fire,
my ultimate desire.
My pain, my longing,
my most precious belonging.
My cry, my regrets,
my ocean of secrets.
A rain in the night,
my wishes burning bright.
My admiration, my predilection
my only destination.
My power, my dignity,
my soul’s identity.
A spell, a divine fragrance,
my written death sentence.
My happiness, my sorrows,
my todays and tomorrows.
See what you mean to me,
since the day I loved you.
Don’t say, “forget me”,
do say,
“I love you!”

Night is dark.........

Night is dark and lights are low,
That allows memories to flow,
I donno where should i go,
Towards the days backing in my mind,
Or towards the shining line,
Sometimes high sometimes low,
We were all together in every rove,
But now the time has gone,
And paths are lorn,
Please forgive me for my faults,
I have to fullfill all of my oaths..........

Tera haath thama..........

Tera haath thaama,
To chhuraya na gaya.

Dil mein itna dard tha,
K chhupaya na gaya.

Dekha tera chehraa,
To nazro ko hataya na gaya.

Bheega aisa daman,
Ki sukhaya na gaya.

Tu na mili to jaise na mili jannat,
Mere mehboob tere bin dil ko,

Karaar na aaya,
na gaya.

Ye chand bhe wohe hai................

Ye chand bhi wahi hai aur raat bhi wahi hai,
yadon ki mere dil main baraat bhi wahi hai.

tum door the to kal bhi per faasle nahn the,
mujhko rula de aake vo kafile nahn the.

is dil main tere sang ki parchaiyan hai baaki,
mujhse karein jo baatein vo aahtein nahn hai.

mere saath hi raho tum chaha tha kab ye maine,
kah dun tumhein jo apna vo aas bhi nahn hai.

chahe jahan bhi jao dil main yun hi rahoge,
badle ho shayad tum per mere dil ka ghar wahi hai...............

ROG............

"ROG"

sath chalny waly jb...
sath chor jaty hain...
waqt tham nahe jata..
or mar nahe jata..
koe mar b jy to..
zindagi nahe rukti..
rastoon ko chalna hai..
rasty to chalty hain...
yar dost b milty hain...
zakham asy silty hain..
gard gard lamhoon mein..
umer kat hee jati hai..
kuch musaferoon ko...
bs manzilain nahe milti..
na jany ku bicher jaty hain wo log..
jinki yadain bn jati hain..
umer bher ka..

"ROG"....

Wo roye to bht magar..........

Wo royi to bht mgr mjh se mou mor kr royi,
Koi mjbori hogi jo dil tor kr royi,

Mre smne kr dye mri tsveer k tukre,
Pta chala mre piche wo inhe jor kr royi....................

Peshaaniye haya ke bal...............

Peshaaniye haya ke bal kuch aise gir pade,
Chaha tha hasna magar aansu nikal pade,

Pee gaye hain is tarha dard zindagi kaa,
Koi dusra piye to kaleja nikal pade................

Mere qabar se..............

MERI QABR SE MITTI CHURA RAHA HAI KOI,
MARNE KE BAAD BHI YAAD AARAHA HAI KOI,

AE KHUDA DO PAL KI ZINDAGI AUR DEDE...
MERI QABAR SE UDASS JAA RAHA HAI KOI........

Dor reh k pas.......................

Dor Rah K Pas Rahne Ki Adat Hai,
Yaad Bn K Ankhon Se Behny Ki Adat Hai,

Kareeb Na Ho K Bhi Kareeb Pao Gy,
Mjhe Ahsas Ban K Sath Rehne Ki Adat Hai...............

Friday, June 13, 2008

Kaan me jhumka..........

KAAN MAIN JHUMKA,HAATH MAIN KANGAN,KHANAKTI MUSKRAHAT,

WO IK TASVEER SADION SE RAFTAAR-E-QALB HAI HAMAARI...........

Qissa-e-husn-e-yaar...........

QISSA-E-HUSN-E-YAAR LIKHNAY BAITHAY HAIN JO AAJ,

QEHAT-E-LAFZ-E-SAN'A PARR GYAA HAI..............

Yeh kis ka chand............

Yeh kis ka CHAND sa mukhda ubhar aaya TASAVUR mein?!?!

Kay Khushbo say MEHEK uthi yaka yak MERI TANHAI…!!!

Sunday, June 8, 2008

Wo kon hai.........

Woh kon hai,duniya mein jise ghum nahi hota,

Ek ghum hain hamara jo kabhi kam nahi hota.........

Apni he majboori.........

Apni he Majboori thi Jo Hont Hamaray Khul na Sakey,
Jab Bhi manga KHUDA se TUM ko........

Busss.........
Hath utha k ROey hain.......

Main thora gareeb hn...........

Main thoda gareeb hoon, par woh mere kareeb hai,

Ya toe main khushnaseeb hoon, ya woh kuchh ajeeb hai..........

Mat rok humein........

MAT ROK HUMEIN MASJID MEIN BAITH KAR PEENE SE,FAHAD,

YA KOI AISI JAGAH BATA JAHAAN KHUDA NA HO..............

Mat pee sharab...........

MAT PEE SHARAAB MASJID MEIN BAITH KAR FAHAD,

EK HI BOTAL HAI KAHIN KHUDA NA MAANG LE..........

Wo namaaz parh rahay hai........

Wo namaaz par rahe hai, kuch aise andaaz mein,

Jaise sajda khuda khuda ko kar raha hai..............

Kisi ko kya..........

Kisi ko kya ho kisi ke dilon ki shikaston ki khabar,

Ki tootne par yeh sheeshe kabhi aawaz nahi karte..............

Suna hai har cheez........

Suna hai har cheez mil jaati hai dua se,,

Ek din maang kar dekhenge unhe khuda se.............

Ab had se junoo...........

Ab had se junoo barh k koi gul na khilaa bythe,

Ab tak to mere hath mai apna hi giraibaa hai...

Mere qatil.............

MERE QATIL,
MERE QATAL SE PEHLE MERI AAKHRI KHWAHISH MAT POOCH,

SHAYEYAD TUJHE NAHI MALOOM,
KHWAHISHON KI KADI KA KOI AAKHRI SIRA NAHI HOTA.....

Wo husn kya jo.................

WO HUSN KYA JO HAR WAQT PARDE MEIN HO CHUPA,

BIJLI HAI JISKA NAAM AAKHIR CHAMKATI ZAROOR HAI............

Tujhe kafir pukarainge...........

TUJHE KAAFIR PUKARENGE YE ZAMANE WALE,

YUN NAIGAHEIN NA CHURA, MERE DIL KO CHURANE WALE.................

Hoon main parwana............

HOON MAIN PARWANA KOI SHAMMA TO HO, RAAT TO HO,

JAAN DENE KO HOON HAZIR PAR KOI BAAT TO HO...................

Hum to hain dareya............

HUM TO HAI DAREYA, HUMEIN APNA HUNAR MALOOM HAI,

JIS TARAF CHALTE HAI, RASTA KHUD-B-KHUD BANTA HAI.............

Aab waqt-e-nazah ka.............

Aab waqt-e-nazah ka aalam hay, tum apni muhabbat wapis lo,

Jab kashti doobnay lagti hay, sub boojh utara kartay hain....................

Han mein wohi shaks hn..........

HAn mein wohi shaks hoon......

Dil mein jis k koi tamana baqi na rahi.....!

Aaj itne bhe mayasar nahe............

AAj itni bhi mayasar nahi maikhane mein,

Jitni hum chor diya karte the paimane mein.........

Kash khuda ne...........

Kash khuda ne dil ko kanch ka banaya hota,

K dil todne wale k haath me ek zakhm to aaya hota............

Gam ke liye padi hai...................

Gam ke liye padi hai abhi ek umra ae FAHAD,

Lekin yeh chand lamhe to aa haskar guzaar le...........

Wo bi to teri........

Wo bi to teri pehli mohabbat na thi fahad,

Phir kya hoa agar koi harjai bangyaaa?............

Naseeb me jo likha hai.........

Naseeb me jo likha hai chahe woh pathar ki lakeer hi sahi,

Hum mitadenge use chahe anjam humari mout hi sahiiii...........

Aaja teri yaad ab.........

Aaja teri yaad ab jeene nahi deti..

Zinda hai .. teri aas marne nahi deti..........

Zindagi kuch bhi nahe..........

Zindagi kuch bhi nahi phir bhi jiye jate hai,

Tujhpe e waqt hum yeh ehsan kiye jate hai.........

Koi haath tak nahe.............

Koi haath tak na millaye ga agar millo go itna tapak say,

Yeh naye mizag ka shehar hai yahan faaslay say milla ker...............

Saturday, June 7, 2008

Tumhara har sitam..........

Tumhara har sitam hame has kar gawara hota,

Bas 1 baar to hame pyaar se pukaara hota..........

Sehra sehra tishnagi..........

Sehra sehra tishnagi lekar bhatakta hi raha,

Zindagi sookhi nadi si hai uske jaane ke baad.........

Unhon ne hamse..............

Unhone hamse hamesha mulaaqaton ka sisila zaari rakha,,,

Kya pata tha ham dil behlane ka achchha zariya the....

Wo hamse ruswa hain.......

Wo hamse ruswa hain ki ham gairo ko dekhkar muskurate hain,,,

Unhe kya pata hame har chehre me wohi nazar aate hain...........

Achanak koi toke to.......

Achanak koi toke to me chonku ki yeh kya aadat ho gai hai,,

Ijaazat ho to ek baat poochhu tumhe bhi kya mohabbat ho gai hai........

Palkein chamak.....

Palkein chamak uthi hain sote me hamari,,

Aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate......

Hazarar gam sahay............

Hazaar gam sahay lekin na aaya aankh me aansu,,

Ham ahle zarf hen peete hen chhalkaya nahi karte......

Bewafai par teri.......

Bewafaii par teri jaan jaati hai meri..

Jo tujhme wafa hoti to mera kya hota.........

Tu mujhe bhool.........

Tuu mujhe bhool bhi jae to ye haq hai tujhko,

Meri baat aur hai mene to mohabbat ki hai.........

Rok sako to..........

Rok sako tu pehli barish ki bondon ko tum roko,

Kachi mitti tu mehkay gi. hai metti ki majbori...........

Wohi mehsoos krtay hain...........

"WOHI MEHSOOS KERTEY HAIN KHALISH DARD-E-MUHABBAT KI,

JO APNEY AAP SE BARH KER KISI SE PYAR KERTEY HAIN"...........

Samne hai jo.........

Saamne hai jo use log bura kehte hain;

Jisko dekha hi nahi, usko khuda kehte hain........

Padhi thi....

Padhi thi namaaz-e-janaaza hamari gairon ne,,

Mare the jinke liye wo vuzoo kartre reh gae...........

Shamm hotay hi........

Shaam Hotay Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon,

Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye..........

Dekh kr aankhon ko.....

Dekh kar ankhon ko ya na soch k kitna soya hai,

Poch lo chand aur soraj se k kitna roya hai..........

Hmne to pheri.........

Humne to pheri thi bs ret par ungliya,

Jo dekha gaur se teri tasvir ban gayi.............

Hmee ahsaas..........

HUMAIN AHSAAS TAK NAHIN HOTA,

HUM KISI KI HAIYAAT HOTE HAIN....

Deewana hansta hai to..........

Deewana hasta hai to ise has lene do yaaro,

Tanhai me wo roya bhi to bahut hoga....................

Chandani ne kaha........

Chandni ne kaha ke tu pyar kar, Shama ne kaha aankhen chaar kar!

Gori ko chheda to boli muskarakar, Abhi tu naadaan hai kuch intezar kar.........

Hamne mana aap me hoge........

Hamne mana aapme hogi sabr ki takat hamse zyada,

Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse zyada..............

Kya kahain kitne.......

Kya kahain kitne marasim the hamare unse,,

Wo jo ek shakhs hai munh pher kar jane wala......

Ek aachi larki thi..........

Ek achchhi ladki thi ham bhi usko achchhe lagte the,,,,

Der tak lekin kahan chalte hen aise haseen silsile..........

Har shaks ke labo........

Har shakhs ke labo par hai pyaar ki kahani,,,

Is dhair me dilon ki bimaariyan bahut hain.......

Haqeeqat gam ki..........

Haqeeqat gam ki samjho ae hasne waalon,,,,

Wo dil patthar hai jisme gam nahi hai.............

Kar raha tha.........

Kar raha tha gam-e-jahan ka hisaab,,,,,

Aaj tum mujhe behisaab yaad aaye.....

Labon par tabassum.........

Labon par tabassum aankho me do char ashq bhi hain,,,,

Aaj unhe shayad kisi ne hasakar rulaya hai.....

Poocha kuch is tarah se..........

Poochha kuchh is tarah se usne hamara mijaaz,,,

Kehna hi padha mujhe shukr hai parwardigaar ka....

Log kehtay hain........

Log kaihtey hain,ke tum ho mere qareeb,

Main kahaan hoon iss ki khabbar nahin ,mujhhey..........

Monday, June 2, 2008

All ur names r in me.........

All Your Names Are in Me
At dawn, your skin speaks to me through my skin like a drum-beat.
Tawny creatures of fur and feather dance your dawn names
In onion-skin colors across my sky.
And the ripples in water say your day names
In endless knots of light and shadow.

At evening, your dusk names echo in my chest
Like a savored breath of ocean air.
Pale sea creatures in colors of shell and tears
Swim-dance your dark names in the corners of my eyes,
And all my steps feel a slippery pull,
As though there is a tide that runs north to you.

All your names are in me.
Your names are in the fibers of my weave.
Your sun and moon are making a tapestry of me each day.
My threads seek you even across infinite,
Microcosmic gulfs of electrons and light,
Come to you even in the guise of common words,
Hinting at the song of you and me.......

The summer thief.......

The Summer Thief
When you walk with me
Along this leaf-strewn city path,
I take shallow little breaths,
A still tongue behind pursed lips.
Your eyes flutter from time to time,
Before they roll into the back of your head:
Two slits the colour of our brittle Autumn sky.
I am numb to my own footfall,
Yours I barely detect
As we haunt the barrows
In search of our misplaced summer......

Dost bn kr bhi..........

dost ban kar bhi nahin saath nibhaane vaalaa
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaane vaalaa

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam mein laane vaalaa

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
vo jo ik shaKhs hai muu pher ke jaane vaalaa

tere hote hue aa jaati thi saari duniyaa
aaj tanhaa huun to koi nahin aane vaalaa

muntazir kis kaa huun TuuTii howi dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aane vaalaa

main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalate
hai koi Khvaab ki taabiir bataane vaalaa

kyaa Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itanaa
hai vahi mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhi iKhalaas samajhate ho 'Fahad'
dost hotaa nahin har haath milaane vaalaa ..........

Main ne pocha...........

main ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uThaayegaa
aaii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kehalaayega

apuuchh sake to puuchhe koi ruuth ke jaane vaalon se
roshaniyon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayega

alogo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
piichhe murr kar dekhane vaalaa patthar kaa ho jaayegaa

din mein hansakar milane vaale chehare saaf bataate hain
ek bhayaanak sapanaa mujh ko saarii raat Daraayegaa

mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa
gaalii degii duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaayegaa

suukh gai jab in aankhon mein pyaar ki neelii jheal
'Qateel'tere dard kaa zard samandar kaahe shor machaayegaa

Saturday morning...........

Saturday Morning in a Classmate's Garage
My mother and I watched my sister
spring ahead, giggling as she ran up
the paved driveway like a puppy recognizing
the sound of its owner scraping leftover
sonto the ground. She pounced playfully
on Barbie and Skipper while mother and I,
a pair of vultures, swooped.
I preyed on books, and Mother tore into
masses of worn-through blue jeans and faded
T-shirts, searching through carcasses
piled high on card tables and concrete.
At the pay table, I stood watching my feet
shuffle as a familiar woman and girl pulled
tiny squares of masking tape
from our pickings, all the while making
small talk with my mother and me,
pretending the following day
we wouldn't be wearing their leftovers,
their names branding our bodies
like cattle.

Just one night..........

Just One Night Your arms wrapped around me
Your lips sealed to mine,
Our tongue's dancing with each other;
Your touch sizzling through me,
Striking my heart. Just one night,
You possessing me,
Devouring me,
Turning my blood on fire,
Making me one with you,
whole complete,
As we dance with each other,
Just one night,
The heat of our bodies,
The beat of our hearts becoming one;
As our souls soar above together,
Just one night,
Your touch on me .........

Finger paint.....

surrounded by half-empty plastic bottles
half-full of technicolor images
my mind forgoes the cleanliness of dreams
I crack my knuckles
leave the brushes at my feet

it is a child's dream to submerge their hand
sin this iridescent sleep
we let our minds go for the moment
live for the moment
cover our world in dreams

there are pictures in my head no palette can match
ideas you have never seen
when I was six, I could not let go
I can let go now
and let the devices be

I cannot explain the creations that come
when you are gone to the world
and all its machines
to leave the brushes at our feet
cover our world in dreams......

Bound......

I'm tired of nights without
stars,
Earth paved by Gulliver's ropes,
waking docile with wide eyes.
I am tired of painting angry
branches through troubled thoughts
on a glass sky.
I am locked in corrugated red tin,
between slats of a garden shed,
watching Zen ants
moving grains of sand......

The duck....

Faded brown kimono flapping
in the newly chilled wind,
the bent and dry-skinned woman
creeps beside the pond.She is wandering
in a windowpane of thought.
Stooping where minuscule waves
meet the too-large shore,
her oversized wedding ring
slips carelessly to the ground.
It will be retrieved by someone with elastic skin
and silken threads.
Crumbling bread in her hand,
she throws it on the water's metallic surface
and watches as a swan and duck indulge in battle
for its life giving rights.
Her chapped lips curve into a secret smile
as the duck squawks its victorious cry....

The sea........

The sea
prints itself
on the conch, its white spiral
pod casting seeds
like a neton the sand when the water
breaks good newsof arrival.
The father finds the conch
alive on the sandbar
and shows it
to his daughter,
black foot, shell varnish.
Later how it will empty
its sound into the child's ear
whirring like the sea in a dream,
coming past the sand to sweep
its living life,
good news, good news.

Simple pleasures.....

On your knee, in the lamplight,
dipping buttered toast in your coffee,
I hear the hush of the silent house.
The other children gone off to school,
you and I sit together
alone in the dim morning light,
full of love and trust,
chattering to one another about
simple times with unfurrowed brows.
We were so close then.
I hold that memory in my mind
like an old black and white photograph
one would carry in a wallet, worn soft
from years of riding in a back pocket,
a photo
showing the ones you love,
the most beautiful mother,
the best loved and dearest held,
the treasured one--
to be shown far from home.

Us ne kaha mujhse..........

Us ney kaha mujh sey tumhain kitna piyar hey??
Main ney kaha sitaaron ka koi shumaar hey??

Us ney kaha key kon tumhain hey bohat azeez?
Main ney kaha merey dil pey jisey ikhtiyaar hey.

Us ney kaha kon sa Tohfa tumhain main doon?
Main ney kaha woh shaam jo ab tak udhar hey.

Us ney kaha khizan main mulaqat ka jawaaz...??
Main ney kaha key qurb ka matlab bahaar hey.

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain,
Main ney kaha key gham nahin jab ghamgusar hey.

Us ney kaha saath kahan tak nibhaao gey...?
Main ney kaha jitna yeh saanson ka taar hey.

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kis tarah,
Main ney kaha key naam mera aitbaar hey....

Mohabbat chor de hmne...........

Abhi Jo Tum Laut ker Phir tum,
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum,
Humare Dar pe Aaye Ho,
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne,
K Tum Bin Reh Nahi Sakte,
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte,
Kaha Tum Se Kis Ne k,
Hum Tum Bin Bohat Roye,
Kai Raato'n Ko Na SoyeSuno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se,
Agar,
Beetay Huey Lamho'n Ko,
Tumne Wapis Lana Hai,
Humari Zindagi ain Humain,
Wapis Bulana Hai,
Mujhe Afsos Hai Jana'n,
K Tum Mayoos Lauto Ge,
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa,
Kion Kia Hum Ne,
Ye Gham Seh Lia Hum Ne,
TOU SUNO GAUR SE JANA'N,
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat,
Tor Di Hum Ne,

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . ..

Har ghdi khud se..............

Har ghadi khud se ulajhna hai mukadar mera,
Main hi kashti hoon mujhme hai samundar mera,

Ek se ho gaye mousamon ke chehre saare,
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera,

Kisse poochu ke kaha gum hoon kai barso se,
Har jagah dhoondta phirta hai mujhe ghar mera,

Mudadtein ho gayi ek khawaab sunehra dekhe,
Jagta rehta hai har neend mein bistar mera,

Har ghadi khud se ulajhna hai mukkadar mera,
Main hi kashti hoon mujhie mein hai sumandar mera..................

Kb kaun kisi ka hota hai.......

Kab kaun kisi ka hota hai,
Sub jhootey rishtey naate hain...

Sub dil rakhney ki batein hain,
Sub asal roop chhupate hain...

Ikhlaq se khali log yahan,
Lafzon ke teer chalate hain...

Ik baar nigahon mein aakar,
Phir saari umar rulate hain...

Who jis NE diye hain ashk humein,
AB us ko bhool hi jaate hain..............

Shidat ki dhoop tez..............

Shiddat ki dhoop tez havaaon ke baavajood,
Main shaakh se giraa hoon nazar se giraa nahin.

Aakhir Gazal ka tajmahal bhi hai makabara,
Hum zindagi the hamko kisi ne jiya nahin.

Jisaki mukhaalafat hui mashhoor ho gaya,
In pattharon se koi parinda gira nahin..................

Bikhar rhe hai mere zaat.............

Bikhar rhe hai mere zaat usay keh daina,
Kahain melay tu yehe baat usay keh daina,
~*
Usay kehna k bina us k din nahi kat taa,
Sisak k kat tee hai har raat usay keh daina,
~*
Wo sath tha tu zamana tha hamsafar mere,
Magar ab koi nahi sath usay keh daina,
~*
Wo jis ko sun k palat aiy mere duniya me,
Hawaoo aise koi baat usay keh daina,
~*
Agr wo phir b na lotay tu mehrabaa qasid,
Hamare zeast k hallat usay keh daina,
~*
Har ek jeet us k naam kar rhe hon me,
Me mante hon apne maat usay keh daina,
~*
Baras baras k neghain b ho gai pathar,
Pare hai gham ke ajab raat usay keh daina,
~*
Wo sath tha tu zamana tha hamsafar mere,
Hain ab tu khale merey hath usay keh daina ........................

Taire hoont hansna bhool jaain..............

Tujhay Ishq Ho Khuda Karay
Tujhay Us Say Koi Juda Karay

Taire Hoont Hansna Bhool Jaain,
Taire Aankh Pur-Num Raha Karay
.
To Us Ki Baatain Kya Karay,
To Us Ki Baatain Suna Karay.

Usay Daikh Kar To Ruk Jae,
Wo Nazar Jhuka Kar Mila Karay.

Tujhay Dosti Bhi Na Raas Aae,
To Tanha Tanha Phira Karay.

Tujhay Hijar Ki Wo Jhari Lagay,
To Milan Ki Har Pal Dua Karay.

Taire Khuwaab Bikhrain Toot Kar,
To Kirchi Kirchi Chuna Karay.

To Gali Gali Sada Karay,
To Nagar Nagar Phira Karay.

Tujhay Ishq Per Phir Yaqeen Ho,
Usay Tasbiyoon Per Gina Karay.

Phir Main Kahoon Ishq Dhoong Hai,
To Nahi Nahi Kya Karay...........

Aanson nahe thamte hain...........

Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak,
Jaate hue roota woh mujhe chorr gaya tha,

Armanoo ki Duniya ke mere anmool se sapne
Pal main woh mere saamne sab torr gaya tha,

Jaan deta tha meri her baat pe wo lekin yun hi,
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha,

Din ki tanhai ka gham raaton ki uddasi hamraah,
Saare ghamon se rishta mera woo jorr gaya tha,

Aey kaaash koi jaa ke usse pooche faqat itna,
Yahan kis ke saharee pe mujhe chor gaya tha............................

Bohat muddat bad kal shab................

Bohat Muddat k baad Kal Shab,
Kitab-e-Mazi ko main nay Khola,

Bohat sa chahray nazar main utray,
Bohat sa namoon pa dil paseeja,

Ek safha aisa bhi aaya,
Likha howa tha jo ansoon sa,

Unwan jis ka tha yaad tairi,
Safa woh sab sa hi motabar tha,

Khuwahishon ka ek nagar tha,
Kuch or ansoo us pa tapkay,

Kuch or thora dil paseeja,
Kitab-e-mazi ko band kar k,

Tairay khayaloon main kho gaya main,
Na janay kab phir so gaya main.................