Friday, April 25, 2008

Socha na tha.....

Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha

Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge kabhi socha na tha

Zamane se tanha hi takrayen ge kabhi socha na tha

Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the

Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha

Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai

Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha

No comments: