Ab aansuyon ko aankhon mein sajaana hoga
Chiraag bhuj gaye. . . khud ko jalaana hoga
Na samjhna ke tumse bichhar ke khush hain
Hamein logon ki khaatir muskuraana hoga
Phir pairon mein mehndi laga ke baithe honge
Hum jaan-te hain unkaa kya bahana hoga.
Phir shaam dhal gayi ..aap aaye na aaj bhi
Dil ko aaj phir umeedon se behlaana hoga
Vaada-khilaafi kar ke muskuraate ho aap
Dekhna aik din sanam aapko pachtaana hoga.
Lahoo se apne kafan pe tera naam likh jaaunga
Thaam haath mein kaleeza tumko aana hoga
Abhi se na kijiye takaaze masroofiyat ke aap
Abhi utth-ni hai arthi kaandha to lagaana hoga
Muddaton kiya hai tera intezaar aey dost..!
Umar kat chuki. . .ab ham ko jaana hoga
Friday, April 25, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment