Tuesday, April 22, 2008

Chalo khawab aankhon mein saja kar daikhte hain..

Chalo khawaab aankhon mian saja kar dekhtay hain
Chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hain,

Khoon k rishton se aetbaar to uth gya
Chalo benaam rishtay bana kar dekhtay hain,

Zindagi aasaan ho jaye shaayad hamaari
Chalo haath ki lakeerain mita kar dekhtay hain,

Andheri shabb to kisi surat kat'ti nahi
Chalo ghar apna hi jala kar dekhtay hain,

Hamain maaloom hai k tum ney hamara hona nahi
Chalo tum par ye zindagi luta kar dekhaty hain...!!!

No comments: