Monday, April 7, 2008

KUCH IS QADAR B ASAN NAHE ISHQ TERA

Kuch is qadar bhi to aasan nahi ishq tera
Ye zehar dil mein utar kar he raas aata hai

Main tujh ko paa ke bhi khoya sa rehtaa hoon
Kabhi kabhi to mujhe toone theek samjha hai

Mujhay khabar hai ke kayaa hai judaaiyon ka azaab
Ke maine shaakh se gul ko bichartay dekha hai

Main muskuraa bhi paraa hoon to kiyun khafa hai ye log
Ke phool tooti huee qabar par bhi khiltaa hai

Usay ganwaa ke main zinda hoon is tarhaa Mohsin
Ke jese taiz hawaa mein charaagh jalta hai

No comments: