Sunday, March 16, 2008

Samandar mein utarta hn.

samander main uterta hon tu ankhain bheeg jati hain
teri ankhon ko perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaii jab se
koii bhi lafz likhta hon tu ankhain bheeg jati hain
teri yadon ki khushbo khirkiyon main raks kerti hai
tere gham main sulagta hon tu ankhain bheeg jati hain
main hans k jheel leta hon judaii ki sabhi rasmain
galay jab us k lagta hon tu ankhain bheeg jati hain
woh sab guzray howay lamhat mujh ko yad atay hain
tumharay khat jo perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
main sara din bohat masroof rehta hon mager jonhi
qadam chokhat pe rakhta hon tu ankhain bheeg jati hain
har ik muflis k mathay per alam ki dastanain hain
koii chehra bhi perhta hon tu ankhain bheeg jati hain
baray logon k onchay badnuma or sard mehlon ko
ghareeb ankhon se takta hon tu ankhain bheeg jati hain
hazaron mosmon ki hukmarani hai mere dil per
wasi main jab bhi hansta hon tu ankhain bheeg jati hain

No comments: