Tuesday, March 18, 2008

Aay duur nagar k bunjaray q aaj safar ki tanhai hai.

Aay duur nagar k bunjaray kiyon aaj safar ki thani hai,
Yeh barish, keechar, sard hawa aur rah kathun anjani hai.

Aa mehfil chup chup baithee hai aa mehfil ka jee shaad karain,
Woh log k tairay aashiq hain, k roz say tujh ko yaad karain.

Woh thor thikanay dhoond chukay, woh manzil manzil chooh ayay,
Ubb aas lagayay baithay hain kub dustuk ho kub tu ayay.

Aay duur nagar k banjaaray gar chor k aisa jana tha,
kiyon chah ki rah dikhani thee, kiyon piyar ka haath barhana tha.

Hai dunya k hangamo main rangeenee bhi ranaaiee bhi,
Hur cheez yahan ki piyaree hai, mehroomi bhi, ruswaiee bhi.

Sub log yahan par qismat kay bai tor thapairay sehtay hain,
Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain.

Aur tu tau aik khilari tha, kiyon khail hee say mon morr liya,
Kiyon jaan ki baazi haar gia, kiyon umer ka rasta torr liya.

Go janay k mushtaq yahan hum jaisay laakh becharay hon,
Woh log hee rukhsat hotay hain jo log k sub ko piyaray hon

No comments: